Kya kia tere naam likhon
Kya kya Tere Naam likhon. . .?
"DIL" likhoon k "JAAN" likhoon?
Aansu chura k Teri Pyari Aankhon se. . . !
Apni har Khushi Tere Naam Likhoon
Kya kya Tere Naam likhon. . .?
"DIL" likhoon k "JAAN" likhoon?
Aansu chura k Teri Pyari Aankhon se. . . !
Apni har Khushi Tere Naam Likhoon
Baad Marne K Mere Tum Jo Kahani Likhna
Kaise Barbaad Hui Meri Jawani Likhna.
Yeh Bhi Likhna K Mere Hoont Hansi Ko Tarse,
Umer Bhar Ankh Se Behta Raha Pani Likhna.
Gunah karke saza se darte hain,
zahar pee ke dawa se darte hain,
dushmano ke sitam ka khauff nahi,
hum toh doston ki wafa se darte hain..
mita dain gay yeh duri, yeh faslay sabhi!
kaho gi ik baar kay milo aa kay kabhi!
na hon gay durr phir tum say is zindagi main!
khula rakho tum dar apna, hum atay hain abhi!
Jo rehtay hain sada dil mein unhein dhonda nahin kertay,
Jo ruch jayain rag-o-pay main unhein socha nahin kertay,
Baharon k ghanay sayai mein talkhi bhi, chubhan bhi hay,
Ghamon ki dhoop ka tum say magar shikwa nahin kertay,
Nahin aatay kabhi bhi loot ker guzray howay mousam,
Barastay badalon ki aas mein tarsa nahin kertay,
Tajasus aur barhta hay machal jatay hain sun ker hum,
Achanak pyar ki baaton ka rukh mora nahin kertay,
Teri nazar inayat say howay jatay hain jo ghayal,
Unhein qatil nigahon say kabhi daikha nahin kertay
paas aa k sab hi dur chale jate hai,
hum akailay hain akele hi reh jate hai,
Dil ka dard dikhayain kis ko?
jab marham lagane wale hi dard de jate hai.
Ajeeb si kashish hai app me ki hum
aap ke khaylo me khoye rehtay hain...
ye soch k aap khuwabon main ayain.
hum din me bhi sooye rehtay hain
Toote khuwabo ki tasveer kab poori hoti hai,
chand taron k beech bhi doori hoti hai.
dena to hume khuda sab kuch chahta hai,
par uski bhi kuch majboori hoti hai..
Bagair jane pehchane iqrar na kijiye,
muskura kar dilo ko beqrar na kijiye,
phool bhi dey jatay hain zakham gehray kabhi kabhi,
har phool par yun aaitbar na kijiye
Kahin tanha na kar dey tujhe munfarid rehne ka shok FARAZ...
jab din dhalay to kisi se haal-e-dil keh diya kar.
Hawa e dasht mughay aab tu aajnabi na Samagh
Kay aab tu bhool gay Rastay bhe ghar kay mujhay
Na rutha karo, kaha hum ne hazar bar usay
Shaid who jaan chuka tha hamare dil ki baat.