SMS / Text Messages

Jo na mil saka wo baywafa

Jo na mil saka wo baywafa
yeh bare ajeeb si baat hai

jo chala gaya mujhay chor kar
wohi aaj tak mere saath hai...

Wo roshni kay khayal main
wo na asaka raah mian muntazir

yeh khalish kahan thi visaal main
mere justojoo ko khabar nahi

na wo din rahay na wo raat rahay
jo chala gaya mujhay chor kar

wohi aaj tak mere saath hai..
Kary pyar lab pay koi gila na hoo

yeh kissi kissi ka naseeb hai
yeh karam hai uski jafa nahi

wo juda bhi rehkay qareeb hai
wo aankh hai mere ru baru

ussi haath mein mera haath hai
jo chala gaya mujhay chor kar

wohi aaj tak mere saath hai
mera nam tak jo na lay saka

jo mujhay qarar na day saka
jissay ikhtiyaar tau tha magar

mujhay apna pyar na day saka
wohi shakhs mere talassh hai

wohi dard mere hayaat hai
jo chala gaya mujhay chor kar
wohi aaj tak meray saath ha

Pyaar ka meetha "Ehsaas" dilane laga hai tu

Pyaar ka meetha "Ehsaas" dilane laga hai tu
Ab to mujh se mujhi ko churane laga hai tu

Teri chahtooN ka chaaya hai saroor is qadar
Har pal har jagah nazar aane laga hai tu

Veeraan thi yeh zindgi tere aane se pehle
Khushiyoon ke sapne mujhe dhikane laga hai tu

Har pal mujhe hota hai bas tera hi "Ehsaas"
Is qadar meri saansoN mein samaane laga hai tu

Ek pal ki bhi doori seh nahi paata hoon main
Hoke juda kyun mujhe azmaane laga hai tu

Raah chalte hue aksar hota hai yeh gumaan
Ke ban saaya saath mere aane laga hai tu

Naam koi bhi looN to naam aaye tera labooN pe
Ban ke jadu meri rooh mein samaane laga hai tu

Teri yadoon se hi aksar hota hai dil munawwar mera
Ghul ke saath lahoo ke nas nas mein samaane laga hai tu

Jaane kaun si dor hai teri aur kheench le jaati hai
Mujh ko apna deewana banaane laga hai tu

Tasvvur mein aksar hota hai yeh mehsoos mujhey
Chorr k duniya meri baNhooN mein samaane laga hai tu

Yeh to bata ke kya naam dooN iss deewangi ko
Bechain kar ke har lamha mujhey tadpaane laga hai tu

Tere khayalooN se mehekne lagti hai zindagi meri
Mere zehn-o-dil pe is qadar chhaane laga hai tu

Yeh masoomiyat yeh bholapan yeh saadgi teri
Mujh ko har adaa se ab satane laga hai tu

Zeest ke rahooN mein dhoop thi har taraf
Apney pyaar ki barish ko barsane laga hai tu

Kya is baat ka tujhey "Ehsaas" hai "Jaan"
Mere har sher mein har Gazal mein aane laga hai tu

Dil mein ab dard-e-mohabbat k siwa kuch bhi nahin

Dil mein ab dard-e-mohabbat k siwa kuch bhi nahin
zindagi meri ibadat k siwa kuch bhi nahin

Mein teri baat bargah-e-naaz mein kia paish keron
Meri jhooli mein mohabbat k siwa kuch bhi nahin

Aey khuda mujh say na lay meray gunahon ka hisab
Meray paas ashk-e-nidamat k siwa kuch bhi nahin

Woh tou mit ker mujhey mil hi gayai rahat werna
Zindagi ranj-o-musibat k siva kuch bhi nahin

Kaise woh lot aye ke fursat usse nahin

Kaise woh lot aye ke fursat usse nahin
duniya samajh rahi hai mohabbat usse nahin.

lagta hai aa chuki hai kami us ki chah main
kafi dinon se mujh se shikayet usse nahin.

dil ki zameen us ki hai banjar issi liye
jazbon ki barishon ki jo aadat usse nahin.

her cheez ikhtiar main rakhta hai woh magar
dil se rehai pane pe qudrat usse nahin.

Kisi Se Bhi Milna, Usay Jeet Lena

Miley Har Qadam PAy Rafaqat Tmhari
Kahan Hum Kahan Yeh Inayat TUmhari

Humein Chahiye Bas Taluq Tumhara
Muhabbat Miley Ya Adawat Tumhari

Kisi Se Bhi Milna, Usay Jeet Lena
Barri Dil Nasheen Hai Yeh Adat Tumhari

NA Dekha Jahan Mein Aur Koi Tumsa
Barri Munfarid Hai Tabiyat Tumhari

Humein Zindagi K Kathan Raston Mein
Hemesha Rahay Gi Zarurat Tumhari...!!!

Hum nazuk nazuk dil waley

Hum nazuk nazuk dil waley
Kabhi hastey hain kabhi rotey hain
Kabhi dil mein khwab parotey hain,

Kabhi mehfil mehfil phirtey hain,
Kabhi zaat mein gum ho jatey hain,

Kabhi chup ki mohar sajatey hain,
Kabhi geet labon par atey hain,

Kabhi sab ka dil behlatey hain,
Kabhi khud tanha ho jate hain,

Kabhi shab bhar jagtey rehtey hain,
Kabhi lambi taan k sotey hain,

Hum nazuk nazuk dil waley Bas,
apney aap mein rehtey hain...

Jin rahon pe ik umer tere sath raha hun,
Kuch roz se wo raste sunsan bohat hain..

Mil jao kabhi laut k phir aon na shayed,
Kamzor hun mein rah mein tufan bohat hain..

Ik tum hi nahi meri judai mein pareshan,
Hum bhi tu teri chah mein veeran bohat hain..

Ik tark-e-wafa pe mein usay kaise bhula dun,
Mujh per abhi os shakhs k ehsan bohat hain..

Bhar aaien na aankhein tu mein ik bat bataon,
Ab tujh se bicher jane k imkan bohat hain.. ..

Kash banane wale ne mujhe kitab banaya hota.

Kash banane wale ne mjhe kitab bnaya hota.
Woh parhty parhty so jati mujhy seenay say lagaya hota,

Main ous k gum main rota or rota he jata.
Os nay chupky say mujhy senay say lgaya hota.

Os ko dastaan suna suna k thak sa giya.
Kash uss nay b mujhy hal-a-dil sunya hota.

Main oss ka naam leta or subho sham leta tha.
Hay afsos os ny mujhy 1 bar bolaya hota.

Main oss ki khatr trpta rha sham o sehar ~Mohsin~
Arman na hota gar os ny 1 anso he bhaya hota.

Aur mujh hi say daman chura to na lo gay

Agar mein bata don mein kia chahti hon
nazron say apni gira tou na doo gay

Jo mein chahti hon, woh tub bhi na chaho
Mujhey koi kari si saza tou na do gay

Mein mohabbaton mein jabar ki qayal nahin hon
Dil laga ker mujh ko bhula to na doo gay

Jo mein bata don meray mun main kia hay
Tum jahan mein tamasha bana to na do gay

Darti hon tum say mein raaz-e-dil sunatay
Tum hansi main baat ura to na do gay

Agar mein bata don mein kia chahti hon
Wafaon k badlay jafa to na do gay
Aur mujh hi say daman chura to na lo gay

Koi mousam bhi hum ko raas nahin

Koi mousam bhi hum ko raas nahin
woh nahin hay tou kuch bhi paas nahin

aik muddat say dil k paas hay woh
aik muddat say dil udas nahin

jub say daikha hay shaam aankhon mein
tub say meray qayaim hawas nahin

meray lehjay mein us ki khushbo hay
us ki baaton mein meri baas nahin

Jitna Shaffaf hay tera aanchal
Utna ujla mera libaas nahin

samnay meray aik darya hay
hont sokhay hain phir bhi pyas nahin

jis ko chaha hay dil-o-jan say saqi
janay woh kion nazar shinaas nahin

tarpna bhi humey ata hai, tarpana bhi ata hai

Gham-e dil ko in aankhoun sey chalak jana bhi ata hai
tarapna bhi humey ata hai , tar-pana bhi ata hai

kisi ki yaad mai jo zindagi humney guzari hai
humey wo zindagi apni muhabat sey bhi pyari hai
wo aye ru-baro hum dastaan apni suna-ein gey
kuch apna dil jala-ein gey kuch unko aazmain gey
sare-mehfil humein poshamma ban jana bhi ata hai

wo apna ruth jana aur wo unka mana laina
wo manzil jhanktey hai aaj bhi yaadoun ki chilman sey
bhula sakta hai kaisey koi wo andaaz bachpan key
humko guzri hoie batoun ko dohrana bhi ata hai

humey ata nahi hai piyaar mai be-abro hona
sikhaya unko humney wafa mai dur-kharo hona
hum apney khooney dil sey zindagi ki mang bhar dein gey
ye dil kiya cheez hai hum jaan bhi qurban kar dein gey
khilafe-zapte-ulfat hum ko mar jana bhi ata hai
tarpna bhi humey ata hai, tarpana bhi ata hai

Aaj kajal jo lagaya to bohut yaad aaya

aj khoya hua ik dost bohat yaad hai
acha guzra hua waqt bohat yad aya

meri aankh k her ansu pe rone wala
aj jab aankh yeh roi to bohat yaad aya

jo mere dard ko seene mein chupa lera tha
aj jab dard hua mujhe to bohat yaad aya

jo meri aankh mein kajal ki tarah rehta tha
aj kajal jo lagaya to bohat yaad aya

jo mere dil tha qareeb faqat usko hi
aj jab dil ne bulaya to bohat yaad aya

Merey sabar ka na ley Imtehaan

Merey sabar ka na ley Imtehaan
Meri khaamoshi ko sada na dey
Jo terey baghair na jee sakey
Usey jeeney ki to duaa na dey

Tu azeez Dil-o-nazar sey hai
Tu qareeb Rag-o-jaan sey hai
Merey Jissm-o-jaan ka yeh faisla
Kaheen waqat aur barha na dey

Tujhe bool ke bhi na bulaa sakoon
Tujhe chah ke bhi na pa sakoon
Meri hasraton ko shumaar kar
Meri chahaton ka silaa na dey

Wo tarap jo shula-e-jaan mein thi
Merey tan badan sey lypat gaye
Jo bujha sakey to buja isey
Na bujha sakey to hawa na dey

Tujhe agar milein kabhi fursatein
Meri shaam phir sey sanwaar dey
Agar qatal karna hai to qatal kar
Yoon judayioon ki saza na dey