Ghazal SMS / Text Messages

Ashk Girtay hain to her Saans PIGHAL Jati hay,
De k Ek Dard Naya her Shaam DHAL Jati hay,

Tujh ko Seenay say Laga ker Milay Jannat ka Sakoon,
Tujh say Bichrron to Meri Jaan NIKAL Jati hay,

Ishq Kuch Aisay Mitata hay NISHAN-E-HASTI,
Jaise k Raat Ujaalay ko NIGAL Jati hay,

Tu Agar Dil pay Meray Hath hi Rakh De to,
Toot'ti Saans Bhi Kuch Dair SANBHAL Jati hay,

Zakhm Bharta hi Nahi Teri JUDAAI ka Magr,
Phir Teri YAAD Naya Dard UGAL Jati hy..

Kabhi na dekh saka

sitaaraa apanii bhii taabindagii na dekh sakaa
vo dhundh thii ki ye manzar koii na dekh sakaa

talaash karate huye uNgaliyaaN jalaa Daaliin
vo tiiragii thii ki mai.n shama bhii na dekh sakaa

milaa thaa shaam mujhe ik bujhaa huaa suuraj
main us ke baad phir raushanii na dekh sakaa

jo rabt baaqii the sab qataa kar liye us ne
vo meharabaaN merii bechaaragii na dekh sakaa

nigaah viase to baam-e-falak ko chhuu aa_ii
main jis zamiin pe khaRaa thaa vahii na dekh sakaa

vahii hai aa_iinaaKhaanaa vahii hai.n tasviire.n
main umr bhar koii suurat naii na dekh sakaa

tamaam shahar men vo diidaavar huaa mashahuur
vo apanii naak se aage kabhii na dekh sakaa

Mujhey talash hai uski jo merey jaisa ho

Mujhey talash hai uski jo merey jaisa ho

Merey khulus ko pehchanta ho bus kafi hai
Who koi bhi ho, kahin bhi ho, kesa bhi ho

Meri khatir marney ka hosla bhi rkhta ho
Agar kabhi rooth jaoon mein us sey to

Muskra key manayee, woh aisa ho
Jo baat karey to woh nibha bhi sakey

Iradon mein woh apney chatanon jaisa ho
Dukhon mein hansney ka hunar janta ho

Ik aisa hamsafar jo samandar kitarah gahrah ho
Us key pyaar ki thandak ho merey liye aisi
Key woh to bilkul aasman key chand jaisa ho

Woh sirf mera ho, jo nigahon mein haya rakhta ho
Umar bhar saath chalney ka azam-e-wafa rakhta ho

Jo khwab deney ko qadir ho meri aankhon ko
Meri mohabbat ko pehchan sakay woh aisa ho

Kisi ko hisaab dayna hai.

Chaman Ka Haal Tu Yeh Hai K Khaak Urti Hai
Kidhar Se Hoke Baharoon Ke Karwan Guzray

Diyar-e-YaarSara Safar Anokha Tha
Kadam Kadam Pe Naya Deyke Imtihan Guzray

Saba Bhi Aai Tu Phooloon Ke Mooh Jholas K Gai
Yahan Se Aber Bhi Barsa K Bijliyaan Guzray

Jo Chup Rahein Tu Malamat Karay Zamir Humein
Khari Khari Jo Kahein €™ Aap Ko Giraan Guzray

Guzarnay Ko Tu Musibat K Din Guzar Hi Gaye
Baray Hi Gehray Mager Chor Kar Nishaan Guzray

Sahi Gayin Na Tagaful Ki Chand Nazrein Bhi
Hain Sharamsar K Is Dil Main Kia Gumaan Guzray

Kabhi Tu War Raqeeboon K Day Gaye Hain Maza
Kabhi Tu Piyaar Azizoon K Bhi Giraan Guzray

Aye Dil Sambhal K Kisi Ko Hisab Dayna Hai
Ke Zindagani Ke Lamhay Kahan Kahan Guzray

Uljhay howay din raat

Apney Uljhey Huwey Din Raat Bhi Suljha Na Sakey
Itney Be-faiz Hain Khud Apney Hi Kaam Aa Na Sakey

Saaya-e-Zeest Ko Dhaltey Huwey Daikha Lekin
Taptey Sehra Pay Koi Naqsh-e-Khushi Paa Na Sakey

Dil Bhi Machla Tha Nigahein Bhi Palat Jaati Theen
Unn Ki Dehleez Pay Lekin Ye Qadam Jaa Na Sakey

Dil Ki Taskheer Hi Darasal Fatah Mandi Hai
Unn Ko Paa Kar Bhi Magar Hum Unhein Apna Na Sakey

Daastan Kehney Ki Kuch Waqt Ne Mohlat Hi Na Di
Lab Kusha Ho Na Sakey Dil Unhein Dilkhla Na Sakey

Khilti Kaliyon Ke Tabasum Ki Haqeeqat Kya Hai
Bikhrey Phoolon Say Jo Poocha To Woh Samjha Na Sakey ....!

Tujhko na aain mohabbatain karni

Ye kya kay sab say bayaan dil ki haalatain karni
'Faraz' tujhko na aain mohabbatain karni

Ye qurb kya hai kay tu saamnay hai aur hamain
Shumaar abhi se judaai ki sa'atain karni

Koi Khuda ho kay pathar jisay bhi hum chaahain
Tamaam umr usi ki ibaadatain karni

Sab apnay apnay qareenay say muntazir us kay
Kisi ko shukr kisi ko shikaayatain karni

Hum apnay dil se hain majbuur aur logon ko
Zaraa si baat pe barpaa qayaamatain karni

Milain jab un say to mubaham si guftagu karna
Phir apnay aap se sau-sau wazaahatain karni

Ye log kaisay magr dushmani nibhaatain hain
Humiin ko raas na aain mohabbatain karni

Kabhi 'Faraz' naye mausamon main ro dena
Kabhi talaash puraani raqaabatain karni

Badal ki tarah .....

Marti hoi zamee'n ko bachaana parra mujhay...
Baadal ki tarah dasht pay aana parra mujhay...

Woh ker nahee'n raha tha mairi baat ka yaqee'n...
Phir yoo'n hua k mar k dikhhana parra mujhay...

Bhoolay say mairi simt koi daikhhta na tha...
Che'hray pay aik zakhm lagaana parra mujhay...

Us ajnabi say haath milaanay k waastay...
Mehfil may sab say haath milaana parra mujhay...

Yaadai'n thee'n dafan aisi k bad-az-farokht bhi...
Us ghar ki daikh-bhaal ko jaana parra mujhay...

Us bay-wafa ki yaad dilaata tha baar baar...
Kal aainay pay haath uthaana parra mujhay...

Aisay bicharr k us nay to mar jaana tha hasan...
Us ki nazar may khud ko giraana parra mujhay...!!

wo Hazaar Parda-Nasheen Sahi

Meri Zindagi to Firaaq hai, Wo Azal se Dil k Makeen Sahi
Wo Nigah-e-Shoq se Door hai, Rag-e-Jaan se laakh Qareeb Sahi

Hamain Jaan deni hai ek din, wo kisi tarah wo Kahin Sahi
Hamain Aap khinchey Daar per. Jo nahi koi to Hum hi Sahi

Sar-e-Toor ho, Sar-e-Hashar ho, Hamain Intizaar Qabool hai
Wo Kabhi miley, wo kahin miley, wo kabhi Sahi, wo kahin Sahi

Na ho Un per jo Mera Bus na sahi, keh yeh Aashqi hai Hawas nahi
Main Unhi ka tha, Main Unhi ka hoon, wo Mere nahi to na Sahi

Jo ho Faisla woh sunaaiye, usey Hashar per na Uthaaiye
Jo karain ge Aap Sitam wahan, wo abhi sahi, wo yahin Sahi

Usey dekhne ki jo Loo lagi, to 'NASIR' dekh hi lain ge Hum
Wo Hazaar Aankh se Door ho, wo Hazaar Parda-Nasheen Sahi!!!!!!

Ujalay apni yaadon k......

humara DIL saweeray ka sunehra jaam ho jaye
chiraghon ki tarah ankhein jalein aur shaam ho jaye

kabhie tow asmaan se chand utray jaam ho jaye
tumharay naam ki ek khoobsurat shaam ho jaye

ajab halaat thay yun dil ka soda ho geya akhir
mohabbat ki haveeli jis tarah nelaam ho jaye

sumandar k safar mein iss tarah awaz de hum ko
hawayen teez hon aur kashtiyun mein shaam ho jaye

mujhay maloom hai usska thikana phir kahan ho ga
parinda asmaan choonay mein jab nakaam ho jaye

ujalay apni yaadon k humaray sath rehnay do
najanay kis gali mein zindagi ki shaam ho jaye

Udaasi ka .....

Thaka Gaya Hai Musalsal Safar Udaasi Ka
Aur Abb Bhi Hai Mairey Shaaney Pey Sar Udaasi Ka

Woh Kon Keemiyaa-gar Tha Ke Jo Bikheir Gaya
Terey Gulaab Say Chehrey Pey Zar Udaasi Ka

Merey Wajood Ke Khalvat-kadey Mein Koi To Tha
Jo Rakh Gaya Hai Diya Taaq Per Udaasi Ka

Main Tujh Say Kaisey Kahoon Yaar-e-Meherbaan Mairey
Ke Tu Hi Ilaj ha Mairi Har Udaasi Ka

Ye Abb Jo Aag Ka Darya Mairey Wajood Mein Hai
Yehi To Pehley Pehal Tha Sharaar Udaasi Ka

Na Janey Aaj Kahan Kho Gaya Sitaar-e-shaam
Woh Maira Dost, Maira Humsafar Udaasi Ka

'Faraz' Deeda-e-Puraab Mein Na Dhoondh Ussey
Ke Dil Ki Teh Mein Kahin Hai Gohar Udaasi Ka !

Rona bhi parta hay

juda honey k mausam mai juda hona bhi parhta hai
jisey mushkil se paya ho usey khona bhi parhta hai

khudi pe maan itna hai kabhi murh kar nahi daikha
jisey kehdoo'n k mera hai usey hona bhi parhta hai

abhi to fasl e gul ho, misl e gul ho zehn mai rakhna
k jab waqt e khiza'n aaye tau phir rona bhi parhta hai

mujhey nindain nahee'n bhatee'n k misl e marg hoti hain
magar ikk khwab k lalach mai phir sona bhi parhta hai

hamesha hansta rehta hoo'n chhupa k gham zamaney se
magar jab tera naam aaye tau phir rona bhi parhta hai

Har shaks khudi ki masti main

Alfaz k jhoote bandan main
Raz k gheray pardon main
har shakhs Mohabat karta hai

halan ke mohabat kuch bhi nhin
sab jhoote Rishte nate hain
Sab dil rakhne ki batein hain
sab asli roop chupate hain

ehsas se khali log yahan
lafzon k teer chalatey hain
ik bar nazar main aa kar wo
phir sari umer rulate hain

ye ishq mohabat mehr-o-wafa
ye sab kehne ki batain hain

har shahks khudi ki musti main
Bus apni khatir jeeta hai...