Ghazal SMS / Text Messages

Nazar jub tum se milti hai main khud ko bhool jata hoon,
Bas ek dharkan dharakti hai, main khud ko bhool jata hon,

Tumhain milne se pehle main bohut sajta sanwarta hon,
Magar jub tum sanwarti ho main khud ko bhool jata hon,

Main aksar kitabon pe tera hi naam likhta hon,
Magar kuch tum jo likhti ho main khud ko bhool jata hon,

Main aksar yehi kehta hon, main tum say pyar karta hon,
Magar jub tum yeh kehti ho main duniya bhool jata hon

Aik pyari si larki hay wo

Aik pyari si larki hay wo,
Meray dil main rehti hay jo,

Meray sapni ki rani hay,
Dil mein dharkan ki tarah basti hay wo,

Jaisay dariya main kanwal khila ho,
Itna pyara hasti hay wo,

Koyal ki koo koo say ziyada,
Geet sureela gati hay wo,

Anakhan us ki, kiya kehna
Jaisay koi neeli jheel or wo,

Mera uska rishta hay kuch aisa,
Jaisay dil hon main aur dharkan wo,

Kuch khafa khafa si lagti hay,
Najanay aaj kion chup baithi hay wo.

Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi

Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi,

Jab chand sitare chamak rahe hon,
Jab yadon k phool mehek rahe hon,
Jab deed ko nain taras rahe hon,
jab ankhon se ansu baras rahe hon,

Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi

Jab tanhai se dil ghabrae ga,
Jub tumhein akela pan sataye ga,
Jab koi khuab he na aye ga,
Jab phool kitab mein he reh jayenge,

Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi

Ejazat day do

Khud ko is dil main basanay ki ijazat day do,
Mujh ko tum apna bananay ki ijazat day do,

Tum meri zindagi ka ek haseen lamha ho,
Pholon say khud ko sajanay ki ijazat day do,

Mein kitna chahta hon kis tarah bataon tumhein,
Mujhey yeh batanay ki ijazat day do,

Tumhari raat si zulfon mein chand sa chahra,
Yeh jaan tum phir lutanay ki ijazat day do,

Nahin shoq Saqib ko bhool ka magar,
Mujhey yeh duniya bhool janay ki ijazat day do

Kya khabar tum ko dosti kya hai

Kya khabar tum ko dosti kya hai
Ye roshni bhi hai andhera bhi hai
Khwahishon se bhara jazeera bhi hai
Bohat anmol ek heera bhi hai

Dosti ek haseen khwab bhi hai
Pass se dekho to sarab bhi hai
Dukh milne pe yeh azaab bhi hai
Aur yeh pyaar ka jawaz bhi hai

Dosti yoon to maya jaal bhi hai
Ek haqeeqat bhi hai khayal bhi hai
Kabhi furqat kabhi vissal bhi hai
Kabhi zameen kabhi falak bhi hai

Dosti jhoot bhi hai such bhi hai
Dil main reh jai to kassak bhi hai
Kabhi ye haar kabhi jeet bhi hai
Dosti saaz bhi sangeet bhi hai

Sheir bhi nazam bhi geet bhi hai
Wafa kya hai wafa bhi dosti hai
Dil se nikli Dua bhi dosti hai
Bas itna samajh lo tum
Pyaar ki inteha bhi dosti hai

Phir Kitna Hua Hai Asar Puchte Hain

Ek Lamhe Me Unhone Zindagi Sawar Di,
Doosre Lamhe Me Unhone Zindagi Ujad Di,

Kusoor Unka Nahi Hamara Hai
Un Do Lamho Mein Hamne Zindagi Guzar Di.

Saza Dene Wale Raza Puchte Hain,
Jeene Ki Humse Wajah Puchte Hain,

Dete Hain Khud He Zahar Humko Aakar,
Phir Kitna Hua Hai Asar Puchte Hain,

Kuch log bohut yaad aate hain

Jub yad ka album kholon to,
Kuch log bohut yad ate hain,

Main guzre dinon ka sochon to,
Kuch log bohut yaad ate hain,

Ab jane kis nagri main,
Soay pare hain muddat se,
Main raat gaye tuk jaogon to,
Kuch log bohut yaad aate hain

Kuch batein theen pholon jesi,
Kuch khushbo jese lehje thy,

Mein sheher-e-chaman mein tehlon to,
Kuch log bohut yaad aate hain

Wo pal bhar ki narazgiyan,
Aur maan bhi jana pal bhar main,
Ab khud se jub bhi rothon to,
Kuch log bohut yaad aate hain

Wo yar hamara kaisa hai ?

Aye moj-e-hawa,Ab tu hi bata,
Wo yar hamara kaisa hai?

Jo bhool gaya hum ko kab se,
Wo jaan se pyara kaisa hai ?

Kia us ko jeewan lamho mein,
Koi lamha mera baqi hai ?

Kia uski jaagti aankhon main,
Meri yaad se phaili udasi hai ?

Kia wo bhi meri tarah yun hi,
Shab bhar jaga kerta hai ?

Kia wo bhi saya-e-rehmat main,
Hamain RAB se manga karta hai ?

Agar aisa nahi to tu hi bata,
Hum yaad use Kion kertay hain ?

Wo humse bicher ker khush hai agar,
To hum pal pal kion marte hain ?

Yeh zara zara si baat per,Tarha tarha ka azaab kiyon?

Yeh zara zara si baat per,
Tarha tarha ka azaab kiyon?

Jo kisi say bhi khafa na ho,
Mujhey us khuda ki talash hai.

Mujhey laghzishon pay her ghari,
Koi tokta hay baar baar.

Jisay ker k dil ko dukh na ho,
Mujhey us gunah ki talash hai,

Bina Humsafar k kab talak,
Koi musafaton main laga rahay.

Jahan koi kisi say juda na ho,
Mujhey us raah ki talash hay.

Mujhey daikh ker jo aik nazar,
Meray saray dard samajh sakay.

Jo is qadar ho Chara-e-gar,
Mujhey us nigaah ki talaash hay.

Khaali jaam liye baithe ho

Khaali jaam liye baithe ho,un aankhon ki baat karo,
Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo,

Jo peekar mast huey hain un ke ziker se kya hasil
Jin tak jaam nahin pahuncha hai un pyaason ki baat karo

Chup rehney se kut na sakegi saadiyon lambi raat yahan,
Jin yaadon se dil roshan hai, un yaadon ki baat karo

Phir palkon par jugnu chamke,aankhon mein ghata si lehrai
Thandi hawa ka ziker karo, Kuch bheegi ruton ki baat karo

Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo,
Khaali jaam liye baithe ho, un aankhonki baat karo..

Aashiq Na Banana Mujhko

Kachi devaar hun Thokar na lagana mujhko,
Apni nazaron me Basa kr na girana mujhko

Tumko ankhon me tasavvur ki tarh rakhta hun,
Dil me dhadkan ki tarh tum B basana mujhko

Baat karne me jo mushkil ho tumhe mahafil me,
Main samajh jaoga nazron se batana mujhko,

Vaada utana hi kro jitna nibha sakte ho,
Khvab pura jo na ho vo na dikhana mujhko

Apne rishte ki nazakt ka bharm rakh lena,
Main to Aashiq hun deevana na banana mujhko

Bhari mehfil

Bhari mehfil mein tanha rehna acha lagta hai
Tere barey mein sochte rehna acha lagta hai

Kabhi pholon mein, kabhi kaliyon mein
Tujh ko hi dhoondhte rehna acha lagta hai

Meri zindgi ki khushiyan tumhi se hain wabasta
Rab say sirf tumhein hi mangna acha lagta hai

Tumharey baghair zindgi ka koi tasavur nahi hai
Kuch is tarah tumhari tamanna karna acha lagta hai

Tum hi ko chaha,tum hi ko chahtey hain
Tumhi ko chahtey rehna acha lagta hai