Poetry SMS / Text Messages

Jo hud say na guzar jaye wo pyar hi kiya
Jo pyar karnay pay majboor na kar day wo iqrar hi kia,

Intezar to sab kartay hain,
saansain tootnay tuk Jo sath na day woh yaar hi kia

Meray paon main zanjeer nazar ayai

Jub jab aap say milnay ki umid nazar ayai,
Meray paon main zanjeer nazar ayai,

Gir paray aason aakhon say or,
her ek aasun main aap ki tasveer nazar ayai

Jitna pyar paya hai tumse

Jitna pyar paya hai tumse.
Ussse aur zyada pane ko jee chahata hai.

Jane who kaun se khoobi hai aap mein
ki har rishta aapse banane ko jee chahata hai..

Bewaja kisi ko sataya nahi karte

Bewaja kisi ko sataya nahi karte,
had se ziyada kisi ko tarpaya nahi karte,
jinki sansain chalti ho apke sMs se,
unhe apne sMs k liye rulaya nahi karte. . .

Door hokar bhi paas nazar ayenge.

Khushbu ki tarah aapke paas bikhar jayenge,
Sukoon bankar dil mein utar jayenge,

Mehsus karnay ki koshish kijiye,
dur hokar bhi paas nazar ayenge.

Yaaden teri rakh di hai sambhal kar

Yaaden teri rakh di hai sambhalkar,
Dur kahi is dil se nikalkar.
Sab kuch to vapas le liya hai aapne dur jaakar,
in yaadon ko bhi le jana kisi roz aakar..

Raat ko raat ka tohfa nahin dete

Raat ko raat ka tohfa nahin dete,
dil ko jazbat ka tohfa nahin dete,

hum to tumhe chand bhi de dete,
lekin chand ko chand ka tohfa nahin dete.

Log har manzil ko mushkil samajhte hai

Log har manzil ko mushkil samajhte hai,
ham har mushkil ko manzil samajhte hai.
Bada fark hai log aur hamare nazarie me,
log dil ko dard aur ham dard ko dil samajhte hai..

Dil to Jalkar rakh ho gaya

Dil to Jalkar rakh ho gaya,
magar in ankho se roya na gaya,
kuch zakhm judai ke aise mile k
phoolon ke bister pe bhi soya na gaya.

Mitti meri kabr se churata hai koi

Mitti meri kabr se churata hai koi,
mar kar bhi yaad ata hai koi,
ae khuda ek pal ki jindagi aur de mujhe,
udas meri kabr se jata hai koi

Raat guzri phir mehekti subah ayi

Raat guzri phir mehekti subah ayi,
dil dharka phir tumhari yaad ayi,
aankhon ne mehsoos kiya uss hawa ko,
jo tumhe chhu kar hamare pass ayi.

Kisi ko meri yaad aye ek arsa hua

Kisi ko meri yaad aye ek arsa hua,
koi hai hairan to koi tarsa hua.

Is tarah khamosh hain ye dil ye aankhe meri,
Jaise khamosh ho koi badal barsa hua.