Poetry SMS / Text Messages

Pane se khone ka maza aur hai,
Band aankho se dekhne ka maza kuch aur hai,

Aansu bane lafz aur lafz bane ghazal,
Teri yaado ke saath jine ka maza kuch aur hai.

Jab Duniya Chor k Hum Janay Lagay Hain

Ashq Woh Bhi Girnay Lagay Hain
Paigam Un K Bhi Aanay Lagay Hain

Iqrar Karte Hain Ab Mohabbat Ka Woh Bhi
Jab Duniya Chor k Hum Janay Lagay Hain...

Abhi waqt hai pal do pal sath guzar lo

Lamha lamha waqt guzar jayega,
Rooh ka daman bhi sath chod jayega,

Abhi waqt hai pal do pal sath guzar lo,
Kal kya pata kon kiski zindgi se chala jayega.

Kya khamoshi ko bhi zuban dena zaroori hai.

Aapki muskan hamari kamzori hai,
Keh na pana humari majboori hai,

Aap kyun nahi samajhte is khamoshi ko,
Kya khamoshi ko bhi zuban dena zaroori hai.

Meri her khushi tere naam hogi

Kahin andhaira to kahin shaam hogi,
Meri her khushi tere naam hogi,

Kuch mang k to daikh humse,
Bijli, pani k bill or qarz main dubi,
Property tere naam ho gi..

har koi is dil ko churana nahi janta

har koi in honton pe muskan lana nahi janta,
har koi is dil ko churana nahi janta,

ek tum hi to ho jo hum se jeet gaye,
warna har koi humain harana nahi janta.

Hum to apko hi apni jaan mante hai

Aapke sms ko Ehsaan mante hai,
Jawab dena emaan mante hai,

Woh aur hai jo pyaar mein jaan dete hai,
Hum to apko hi apni jaan mante hai.

Phir bhi aap nay door samajh liya

Khamosh thay hum to magroor samaj liya,
Chup hai hum to majboor samaj liya,

Yehi aap ki khushnasibi hai ke hum itne qarib hain,
Phir bhi aap nay door samajh liya.

Sodagaron k hathon neelam ho jao gay

Mujh say bicher k baynaam ho jao gai,
Sodagaron k hathon neelam ho jao gay,

Mujh ko acha nahin lagta tera her ek say milna,
Her aik ko mayas'sar howay to aa'am ho jao gay

Pyaar apna aakhir chupao ge kab tak

Nazaro se nazar tum churao ge kab tak,
Pyaar apna aakhir chupao ge kab tak,

Mere paigam aapko milte rahainge yuhi sada,
Message meray mitao gey kab tak...

Jo mere dil main aise samaya hy

Banany wale ne ek DOST mere lia banaya hy,
Jise aap k roop mein mainey paaya hay,

Jo mere dil main aise samaya hy,
Jaise purani haeli main "BHOOT" ka saaya hay

Lahroon say pani ko hataya nahin jaata

Ghamon main hasnay walon ko rulaya nahin jata,
Lahroon say pani ko hataya nahin jaata,

Bananay walay ban jatay hain apnay,
Kisi ko keh ker apna banaya nahin jata