Aansu ko palko tak laya mat karo,
Dil ki baat kisi ko bataya mat karo,
Log muthi mein namak liye phirte hai,
apne zakham unhe dikhaya mat karo.
Urdu poetry SMS / shayari sms messages (Urdu funny & love poetry)
Poetry SMS / Text Messages
Chup rehte hai k koi khafa na ho jaye
Chup rehte hai k koi khafa na ho jaye, hamse koi rusva na ho jaye, badi mushkil se koi apna bana hai, darte hai ki milne se pehle hi koi juda na ho jaye.
Hamari mohabbat k saare ehsaas le lo
Hamari mohabbat k saare ehsaas le lo,
Dilse pyaar k saare jazbaat le lo,
Nahi chhodenge tufaan mein bhi akele tumhe,
Is dost ki dosti ka chahey imtehaan le lo.!
Nafrat tum kabhi na karna humse
Nafrat tum kabhi na karna humse....
hum ye seh nahi payenge....
ek bar keh dena humse aitbar nahi....
aapki duniya se has kar chale jayenge...
Jeena chahte hai magar zindagi raas nahi Aati
Jeena chahte hai magar zindagi raas nahi Aati,
marna chahte hai magar maut paas nahi Aati.
Bahut Udaas hain hum is zindagi se,
Kismat bhi Tadpaney se Baaz nahi Aati...
Kitna bebas hai insaan kismat ke aage
Kitna bebas hai insaan kismat ke aage,
kitne door hai sapna haqiqat ke aage,
koi ruki hui dhadkan se puche,
kitna tadapta hai dil mohabat ke aage..!
Sitam ko humne berukhi samjha
Sitam ko humne berukhi samjha
Pyaar ko humne bandagi samjha
Tum chahe hume jo bhi samjho
Par humne to tumhe apni zindagi samjha
Wafa Main Ab Ye Hunar Ikhtiar Karna Hai,
Wafa Main Ab Ye Hunar Ikhtiar Karna Hai,
Woh Sach Kahe Na Kahe Aitebar Karna Hai.
Yeh TujhKo Jagte Rehne Ka Shauk KabSe Hua,
Mujhe To Khair Tera Intezaar Krna Hai.
Baatein karke bhola na dena
Baatein karke bhola na dena,
Fasana karke mita na dena,
Agar day sako dosti to gham nahi,
Par dost banke bhola na dena.
Na puch mere sabar ki inteha kaha tak hai
Na puch mere sabar ki inteha kaha tak hai,tu sitam kar le teri takat jahan tak hai,wafa ki umeed jinhe hogi unhe hogi,hume to dekhna hai tu bewafa kahan tak hai.
Ulfat ka aksar yehi dastur hota hai,
Ulfat ka aksar yehi dastur hota hai,
jise chaho wahi apne se dur hota hai,
Dil tutkar bikharta hai is kadar jaise
koi kanch ka khilona chur-chur hota hai.
Kisi ke pyar ko bhulna na aaya hume.
kisi ke pyar ko bhulna na aaya hume. kisi ke dil ko dukhana na aaya hume. kisi ke liye tadpna to seekh liya par apne liye kisi ko tadpana na aaya hume.