Jo rehtay hain sada dil mein unhein dhonda nahin kertay
posted in Poetry SMS |
Jo rehtay hain sada dil mein unhein dhonda nahin kertay,
Jo ruch jayain rag-o-pay main unhein socha nahin kertay,
Baharon k ghanay sayai mein talkhi bhi, chubhan bhi hay,
Ghamon ki dhoop ka tum say magar shikwa nahin kertay,
Nahin aatay kabhi bhi loot ker guzray howay mousam,
Barastay badalon ki aas mein tarsa nahin kertay,
Tajasus aur barhta hay machal jatay hain sun ker hum,
Achanak pyar ki baaton ka rukh mora nahin kertay,
Teri nazar inayat say howay jatay hain jo ghayal,
Unhein qatil nigahon say kabhi daikha nahin kertay
Similar SMS / Text messages
- Jo rehtay hain sada dil mein unhain dhoonda nahi kertay
- badalta nahi pyar kabhi magar…
- Khud kaisay kahain k aap say pyar kertay hain
- Jub teri dhun main jiya kertay thay
- Kuch rishtay anjanay mein hi ho jatay hain
- Hum khud pe gharur nahi kertay
- Har pal hum apko yad kia kertay hain
