Ab meri rafaaqat ko tarasta bhi wohi hai,

Ankhein bhi wohi hain dareecha bhi wohi hai
aur soch ke aangan mai utarta bhi wohi hai,

Jis nay mere jazbon ki sadaaqat ko naa jana
ab meri rafaaqat ko tarasta bhi wohi hai,

Is dil ke kharabe se guzar kis ka hua hai
ankhein bhi wohi hont bhi wohi lehja bhi wohi hai,

Jo kuch bhi kaha tha meri tanhai ne tujh sey
is sheher ki deewar per likha bhi wohi hai,

Woh jis nay diye mujh ko mohabbat ke khazaane
baadal ki taraha aankh se barasta bhi wohi hai.