SMS / Text Messages

Meri saadgi mera jurm hay

Yahan chahton ka sila nahi,
yahan dosti ka maza nahi,

yahan janay kesi hawa chali,
Rahi dostoon main wafa nahi,

yahan jal gaya mera aashiana,
Abhi badlon ko pata nahi,

Teray dar pe dastak de sakon,
ye haq to tum ne dia nahi,

Main raahi hon raah-e-umeed ka,
Mujhay manzilon ka pata nahi,

Be bas hon jahan main isqader,
jaisay mera koi "KHUDA" nahi,

MERI SAADGI MERA JURM HAi,
KOI AUR MERI KHATA NAHI.

Na koi rishta hay tum se na koi talluk

Najane q meri shairi ka unwan ban jate ho tum,
Sub kuch jante howe bhi anjan ban jate ho tum,

Na koi rishta hay tum se na koi talluk,
phir bhi na jane q mera man ban jate ho tum,

Me jo bhi likhta hon bat zara qarene se,
Mera geet meri shaira mera deewan ban jate ho tum,

Dil se jo nikalti hai, labon pe aa k dum tor deti hay,
Woh tamanna, wo hasrat wo arman ban jate ho tum.

Main lakh karon koshish tum se tark-e-tlluq ki,
Phir bhari mehfil main meri pehchan ban jate ho tum.

Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye

Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye
Badi Chot Khai Javani Peh Roye

Javani Peh Roye

Na Socha Na Samajha, Na Dekha Na Bhala
Teri Aarzoo Ne, Hume Mar Dala
Tere Pyar Ki Meherbani Peh Roye
Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye
Badi Chot Khai Javani Peh Roye

Javani Peh Roye

Khabar Kya Thi Honto Ko Seena Padega
Mohabbat Chupa Kar Bhi, Jeena Padega
Jiye To Magar Zindagani Pe Roye

Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye
Badi Chot Khai Javani Peh Roye

Javani Peh Roye

Tu Ne Jo Chonk Kar Her Simth Nigah Ki Hogi

Tu Ne Jo Chonk Kar Her Simth Nigah Ki Hogi
Mere Hi Dard-e-Mohabbat Ne Sada Di Hogi

Ye Jo Moti Baraste Hey, Teri Yaad Mein Aksser
Badloon Ne Meri Aankhon Ko Dua Di Hogi

Jhilmillati Hooye Ek Baat Jo Sochi Mene
MeMoN Ne Jaake Ussay Zaroor Bata Di Hogi

Ziker Aaya Jo Kabhi Mera Uss Ki Mehfil Mein
Khefiyet Mittane Ko Uss Ne Baat Ghhuma Di Hogi

Wo Rah Se Guzrey Bhi Plutt Ker Bhi Na Dekhe
Aakhiri Ummed Mareez-e-Ishq ki Bujha Di Hogi

Dill Saada Tu Barra Khush Fehum Hey Lekin MeMoN
Uss Ne Soorat Bhi Teri Kab Ki Bhulla Di Hogi

Naam Koi Bhi Na Le Meri ZINDAGI ka Yahaan
Shehar Mein Uss ne, Yeh MaNaDi karwa Di Hogi

Phir Bhi Us Ka Intizar Kerna Kesa Lagta Hai

Azeem Hai Yeh Qurbat Ki Doooriyaan
Sath Reh Ker Bhi Usko Na Pana Kesa Lagta Hai

Kismat Main Nahin Phir Bhi Us Ko Chate Hai
Yun Samjh Ker Kanto Per Chalna Kesa Lagta Hai

Ab To Mehfil Main Bhi Humare Liye Tanhaye Hai
Ghum Chupa Ker Mehfil Ko Sajana Kesa Lagta Hai

Samjhne Per Bhi Samjhata Nahin Hai Dil
Uski Yaad Main Raato Ko Jaagna Kesa Lagta Hai

Us Ki Berukhi Ne Itne Diye Hai Ghum
Zakham Chupa Ker Bhi Muskarana Kesa Lagta Hai

Isse Kho Ker Mere Pass Rha Kuch Bhi Nahin
Phir Bhi Khudh Ko Ameer Batana Kesa Lagta Hai

Khudh Ko Anmol Samjhne Ka Tha Bara Ghamand
Phir Bhi Bemool Bik Jana Kesa Lagta Hai

Kahayei Hai Dhoke Mohabaat Main Itne Ke
Phir Bhi Us Ko Cahana Kesa Lagta Hai

Maloom Hai Memon Teri Manzil Nahin Hai Koi
Phir Bhi Safer Kerte Rhena Kesa Lagta Hai

Anmol To Aah Ker Bhi Ja Chuke Hai Kab Ke
Phir Bhi Us Ka Intizar Kerna Kesa Lagta Hai

Aye mere hamnasheen chal kaheen aur chal

Aye mere hamnasheen chal kaheen aur chal,
is chaman mein ab apna guzara nahin.

baat hoti gulon tak to sehlete hum,
ab to kaaton pe bhi haq hamara nahin.

jab gulistan ko khoon ki zarorat padi
sab se pehle hamari hee gardan katee,
phir bhi kehte hain humse ye ahle chaman
ye hamara chaman hai tumhara nahin.

aaj aaye ho aur kal chale jaoge
yeh muhabbat ko meri gawara nahin,

umr bhar kaa sahara bano to bano
chaar din kaa sahara sahara nahin

Mohabbat ka izhaar na karna

Kaha tha tum say...mera intezaar na karna
dunya chahey jo kahey tum aitebar na karna

Aisa ho chuka hai kayee bar pehlay bhi
ab ki bar tum koi bhi sawal na karna

Din raat kat rahey hein ab to ussi k khyal mein
wo lamhein wo ratein,unko yaad bar bar na karna

Zindagi tanha hi sahi..kat rahi hai ab tak
kis nay keh diya tha mohabbat ka izhaar na karna

Wafa Ki Raah Mein,Main Aaj bhi Akaila Hoon

Karray Hain Hijar k Lamhaat,Uss Se Keh Dena
Bikhar Rahi Hay Meri Zaat,Uss Se Keh Dena

Hawa-e-Mousam- e-Gham Uss k Shehar Jaye To
Mery Dukhoon Ki Koi Baat Uss Se Keh Dena

Yeh WeHshatein,Yeh Udasi,Yeh RatJagoo k Azaab
Ussi Ki Hain Yeh Inayaat,Uss Se Keh Dena

Bohat Taweel Bohat KarabNaak Hoti Hain
Judayion Ki Har Ik Raat,Uss Se Keh Dena

Vo Dil Ki Bazi Jahan Mujh Se Jeetna Chahey
Main Maan Loon Ga Vohin Maat,Uss Se Keh Dena

Wafa Ki Raah Mein,Main Aaj bhi Akaila Hoon
Koi Nahi Hay Mery Saath,Uss Se Keh Dena

Us ne chaahaa bhi tujhe aur jataayaa bhi naheen

pyaas vo dil kii bujhaane kabhii aayaa bhii naheen
kaisaa baadal hai jisakaa ko_ii saayaa bhii naheen

beruKhii is se ba.Dii aur bhalaa kyaa hogii
ek muddat se hame.n us ne sataayaa bhii naheen

roz aataa hai dar-e-dil pe vo dastak dene
aaj tak hamane jise paas bulaayaa bhii naheen

sun liyaa kaise Khudaa jaane zamaane bhar ne
vo fasaanaa jo kabhii hamane sunaayaa bhii naheen

tum to shaayar ho 'Qateel' aur vo ik aam saa shaKhs
us ne chaahaa bhii tujhe aur jataayaa bhii naheen

Tumhara chand sa chehra..

Fizaoo main rang bharta hai tumhara chand sa chehra...
Mujhe bechain karta hai tumhara chand sa chehra...

Usi ehsaas ka nasha liye phirta hoon duniya main akela...
Meri khatir sanwerta hai tumhara chand sa chehra...

Mujhe ye chandni raatein buhut bekaaif lagti hain...
Jab meri aankhoun main ubharta hai tumhara chand sa chehra...

Koi chehra meri aankhoun ko khera nahin ker sakta...
Mujhe madhosh karta hai tumhara chand sa chehra...

Meri basti se shayad iss liyay tum door rehte ho...
Gehan lagne se darta hai tumhara chand sa chehra...

Tawaja kis qadar dene laga hun aaj kal khud per...
Mere charoun taraf jab siyah raat aati hai...

To phir mujh mein uterta hai tumhara chand sa chehra...

Mere se yun hi TUM apni dosti rakhna...
Andhere main nikharta hai tumhara chand sa chehra...

Manoos Kar Chkuey Hein Ye Diwar-o-Dar Mujhey

Manoos Kar Chkuey Hein Ye Diwar-o-Dar Mujhey
Zindaan Ke Baad Raas Na Ayega Ghar Muhjey

Umeed-e-Zindagi Nahee Aye Charah-Gar Mujhey
Shaam Hogayee Tou Phir Na Hogi Sehar Mujhey

Mein Ek Mataa-e-Eshq Houn, Khhoya Agar Mujhey
Shayed Na Pa Sakoge Kaheen Umar Bhar Mujhey

Kiya Jeetay Ji Umeed-e-Rahayee Se Wasta
Dhoka Na Dein Qafas Mein Merey Baal-o-Par Mujhey

Dou Jan-ba-Lab Mareez Hein, Ek Marg-e-Muntazir
Mein Uss Ko Dekhhta Houn Charagh-e-Sehar Mujhey

Tang Aake Chordta Houn Dunya Ko Aap He
Duyna Ghareeb Chord Ke Jaati Kidhar Mujhey

Aayena Ban Raha Houn Kisi Ke Jamal Ka
Kuch Sochtey Hein Dekh Ke Ahl-e-Nazar Mujhey

Maadoom Ho Chuka Ye Ehsaa-e-Zindagi
Chahein Tou Zehar De Dein Merey Charah-Gar Mujhey

Jeeney Ki Hey Salaah, Ke Marney Ki Eshq Mein
Dil Se Ye Poochna Hey Kahein Baythh Kar Mujhey

Pyar chupta nahi chupanay say

Laakh miltay hain hum bahanay say
Pyar chupta nahi chupanay say

Ummar guzari hay dar-badar apni
Hum hillay thay zara thikanay say

Aik jadu sa kar gaye mujh par
Kuch makaan thay puranay say

Baat karta raha main us say magar
Baat banti nahi bana'nay say

Ho jo mumkin to yeh bhi kar dekho
Tum nikalo humain fasanay say

Meri chahat main bhi woh baat na thi
Woh bhi rukhsat hua bahanay say

Yeh bhi rakha hay dhiyaan main hum nay
Teer palta agar nishanay say...!!!