Bus 2 din k liye
Hum na rahe'n bhi tou humari yaadai'n wafa karengi tum se
Ye na samajhna k tumhai'n chaha bas 2 din k liye...
Hum na rahe'n bhi tou humari yaadai'n wafa karengi tum se
Ye na samajhna k tumhai'n chaha bas 2 din k liye...
Zindagi sirf mohabbat nahi,kuch aur bhi hay
zulf-o-rukhsar ki jannat nahi,kuch aur bhi hay
bhool-o-aflas ki is maari hui dunya main
ishq hi ek haqiqat nahi,kuch aur bhi hay ...
Dard jitna hai meri nigaho me,
paoge na utna kisi ki raho me,
bitani chahte the zindagi jiski bahon me,
maut b na mil payi unki panaho me.
Kon Tole Ga Hiroon Mein Ab Hamare Ansoo Faraz ?
Woh Jo Ik Dard Ka Tajir Tha DukaN Choor Geya...
wo baat baat pay deta hai Parindoun ki misal Faraz
saaf saaf nahi kehta mera sheher hi chor do
Kabhi tou miley pehli
mulaqat ki terha
bigra hi rehta hy kyun
halaat ki terha
wo ek dost jo lagy
jaan say pyara
mujhy waqt tou deta hy
magar kheraat ki tarha
Ajeeb hijar parasti thi
us ki fitrat main
Shajar k tuutey patty
talash krta tha
Tamam raat wo parde
hata k chaand k saath
Jo kho gaye wo lamhe
talaash kerta tha ...
Hum say bichar kay us ka takabbur bikhar gaya faraz
Har ek say mil raha hai bari aajzi k sath
Tum apni zulf ki parchaiyan mujhay day do
Tum apni shaam ki tanhaiyan mujhay day do
Mein doob jaon tumhari udas aankhon mein
Tum apnay dard ki gehraiyan mujhay day do
Jo hum mehsoos kerte hain
agar tum tak pohanch jaye
tou bas itna samajh lena
ye un jazbo'n ki khusbuu hay
jinhai'n hum keh nahi sakte
magar tum jo ijazat do
tou chand lafzo'n main keh doon
k tum bin jee nahi sakte ...
K tum bin jee nahi sakte ...
zarorat tor deti hai gharur-o-be niazi ka."
na hoti koi majbori tu hr banda "KHUDA"Hot
(ALAMA IQBAL)
Un dostoan se milna yaaroan sambhal-sambhal ke
Jeete hain zindagi jo Chehre Badal-badal ke.
Mat poochh usse zaalim chehre pe salvatein kyun,
Kaati ho jisne raatein, karvat badal-badal ke.