SMS / Text Messages

Too ne daikha

too ne daikha hai kabi ghoor se chehray ko mere
kitny gham tere muhabbat ne chupaey hain mere

tere ik pal ki muhabbat ka ye asar hoa hai
kitny jazbat jo soe thy jagae hain mere

mai tu apnoo k hi dhokoon main gira rehta tha
tujh ko paya hai to ab sare paraey hain mere

Mutalba humara

mutalba humara un sy kuch bhi zyda nahi
murta to hai hum py woh aur khabi jutata nahi

hum ny kub chaha jee jan sy woh chahy humein bhi
per woh to itna zalim hai dykh k bhi muskrata nahi

kerta to hai roshniyaon ki barish ka wada akser
filhaal to andhyry mein hath bhi barhata nahi

aye dil to hi yaqeen dilla us k ahed e wafa ka
jo hai sung zamany k aur hum sy nazr bhi millata nahi

Tumhari chahhat

tumhari chahhat ka aidrak hoa tha mujhay
tum say piyar yohi to nahi hoaa tha mujhay

tumhari razamandi ka yaqeen hooa tha mujhay
tum say aiqrar yo hi to nahi hoa tha mujhay

tumhari wafa ka hosla mila tha mujhay
tum say ainkar yonhi to nahi hoa tha mujhay

Chehray ki khushbu

Kisi k Chehry ki Khushbu ne kar diya pagal
Phir us k baad sama ka sama hua pagal

jo un se main ne kaha Zindagi bana lo Mujhe
To us ne Dheere se ik Lafz Keh diya pagal

Rulaya na karo

Is tara mein rahon aapki nigaon mein ,
Sada aap mujhe ishqe alam rulaya na karo........

Ajeeb shakhs

Shikayatain bhi thein usay to mere khuloos se
Ajeeb tha wo shakhs meri aadten na samjh saka

Qaraar Cheen Leya..

Qarar cheen lia beqarar chorr gaye
Bhar legaye yad-e-bhar chorr gaye

Hmari chasm-e-khazeen ka khyal kuch na kia
Wo umar bhar k liay ashak baar chorr gaye

Jisay samajtay thay apna wo itni mudat se
Usi ko aaj wo begana waar chorr gaye

Tujhey be-wafa bana dia

Aaj achanak teri yad ny rula diya
Kya karon tum ny jo mujhy bhula diya

Na karty wafa to na milti ya saza
Meri wafaon ny tujhy be-wafa bana diya.

Khamosh Fiza Thi...

Khamosh fiza thi kahin SAYA bhi nahi tha...
Es shehar mein HUMSA koi aaya bhi nahi tha...

Kis jurm mein CHEENI gai HUM se hansi...
Hum ne to kisi ka DIL dukhaya bhi nahi tha...
(KIRAN ASGHAR)

dil to dil tha

rooty es kader menaya na gaya.
door itna ho gaye paas bulaya na gaya.
dil to dil tha samendar ki ret nahe.
likha diya jo naam to mitaya na gaya.