Poetry SMS / Text Messages

Tumse dur rehkar tumhe miss kiya humne,
Tumhare liye “God‚ se wish kiya humne,

Tumhari yaad chupke se chali aayi toh,
Toh bade pyaar se SmS kiya humne.

Please Aap hamain Kabhi Bhool mat jana

Rait ki Zarurt har raigistan ko hoti hai
Sitaro ki Zarurt Aasman ko hoti hai
Please Aap hamain Kabhi Bhool mat jana
Kyonki achey dost ki Zarurat har Insan ko hoti hai.

Nahi chahtay hum tum ko bhulana

sapne hain yadain hai or bahut kuch,
tum ho tumhari batain hain or bahut kuch,

nahi chahtay hum tum ko bhulana,
magar dori hai ek majbori hai or bahut kuch

I miss u

Main nay bhi kisi say pyar kiya tha... mazak kia tha

Main nay bhi kisi say pyar kiya tha...
thoda nahi bay shumar kiya tha,
Meri to duniya hi badal gayi.
Jab usne kaha...
Aray mein‚ nay‚ to sirf mazak kiya tha

Kitnay chehray hain is duniya mein,

Kitnay chehray hain is duniya mein,
Magar humko ek chehra hi nazar aata hai,
Duniya ko hum ab kya dekhain,
Ab uski yaadon me hi sara waqt guzar jata Hai. . . . !!

Sapno me bhi intezar rehta hai

Har waqt jiska khayal rehta hai,
wo to mere dil ke pass rehta hai,
mil jata hai sakoon jiski ek jhalak say,
uska haqeqat me hi nahi,
sapno me bhi intezar rehta hai.

Sath nahi ho tum...!

‎Mujhy yaad aa kar itna be-chain na kro...!
Bs ik ye hi sitam kaafi hai k sath nahi ho tum...!

Milne ki khushi hai ya bichadne ka gum

Milne ki khushi hai ya bichadne ka gum,
Ankhon mein aansu hai ya udas hai ham,
Kaise kahain k kaisey hain ham,
Bas itna samaj lena k tum bin bohat akele hai ham,

Per najanay kion tumhari kami si thi

Waqt guzarta raha per sans thami si thi,
Muskura rahe thy hum,per ankhon me nami si thi,

Saath hamaray jahan tha sara,
Per najanay kion tumhari kami si thi

Sharabi ilzam sharab ko deta hai,

Sharabi ilzam sharab ko deta hai,
aashiq ilzam shabab ko deta hai.
Koi nahi karta qabul apni bhul,
kanta bhi ilzam gulab ko deta hai

Kashish dil ko dharkanay k liyay kafi hai

Kashish dil ko‚ dharkanay k liyay kafi hai
uski yaad hi mujhey rulanay k liyaykafi hai
usko neend shayad hi aati hogi par
uske sang bite pal mujhe sulanay k liyay kafi hain