Poetry SMS / Text Messages

Dil to karta hai zindagi ko kisi qaatil k hawalay kar doon SAAHIL
Judai mein ye roz roz ka marna mujhay acha nahi lagta

Ik taraf judai ka tazkira bhi jari hai

Tanha chor ker hum ko hasla bhi dete ho,
Saans cheen ker jeenay ki dua bhi dete ho,

Ik taraf judai ka tazkira bhi jari hai,
Aur muskuranay ka mashwara bhi detay ho

Dest kehne wale

Jaankar unko, hai is baat ko jaana humne,
kis kadar palat-te hain yeh khud ko dost kehne wale.

Meri chahat hy pani k bulbulay jesi

Meri chahat ka hisab jo lagao gay,
To meri chahat ko bayhisab pao gay,

Meri chahat hay pani k bulbulay jesi,
Zara sa thukrao gy to dhondtay reh jao ge,

Agarche do kinaron ka...

agarche do kinaron ka sangam nhi hota,
magar ek sath chalna b koi kam nhi hata;

wo ankhain ek luta ghar hain jehan aansu nahi rehte,
wo dil ek pathar hai jis dil main kisi ka gham nahi hota,

Bhool jane ki adat hamain bhi nahin

Bun k ajnabi mily thay zindagi k safr mein kahin,
In yadon k lamhon ko kabhi bhoolaingay nahin,

Agar yaad rakhna fitrat hai aapki,
Bhool jane ki adat hamain bhi nahin

Dil to kia hum rooh me uter jate

Hum to mojod thy raaton me ujalon ki tarah,
Log nikly hi nahi dhondne walon ki tarah,

Dil to kia hum rooh me uter jate,
Us ne chaha hi nahi chahne walon ki tarah

Intikhab karna hay

Be-khuloos logo'n se
Ijtinab karna hay

Mujhy apne rishto'n ka
Ehtisab karna hay

Usay bhool jana hay ya
Usay yaad rakhna hay

Dukh tou ek jesa hay bs
Intikhab krna hay

Main hamesha aap k liye eik ehsas hon

Udaas na hona kion k main sath hon,
Samnay na sahi per aas paas hoon,

Aankhon ko band karo dil se yaad karo,
Main hamesha aap k liye eik ehsas hon,

Main ne khoya wo jo mera tha hi nahi

Thukra k usne mujhko kaha muskura do,
Main hans dia akhir sawal uski khushi ka tha..

Main ne khoya wo jo mera tha hi nahi,
Usne khoya woh jo sirf usi ka tha.....!

Dhondte phiro gay hamain 1 din

Dil mai intezar ki lakeer chor jaengay,
Ankhon mai yadon ki nami chor jaingey,

Dhondte phiro gay hamain 1 din,
Zindagi mai eik aisi kami chor jayengay

Kia koi meri tarah jeet k hara ho ga...

Wo to is soch me sahil pe khara doob gia,
Kitna gehra tere darya ka kinara ho ga,

Wo mera ho k bhi mehroom raha mujhse Saqib,
Kia koi meri tarah jeet k hara ho ga...