Ghazal SMS / Text Messages

Udaas Dil Ki Veeraniyon Mein Bikhar Gaye Hain Ghulab Saare,
Yeh Meri Basti Se Kon Guzra Nikhar Gaye Hain Ghulab Saare,

Woh Door Ho To Haqeeqaton Par Saraab Ka Ek Gumaan Sa Ho,
Woh Pass Ho To Gumaan Ho Ke Haqeeqatein Hain Saraab Saare,

Na Jane Kitni Shikayatein Hain Na Jane Kitne Gile Hain Dil Se,
Jo Unko Dekha To Bhool Baithe Sawal Saare Jawab Saare,

Jo Tu Na Hota To Kis Tarah Meri Soch Ko Phir Haroof Milte,
Bas Ek Tumhi Ne De Diye Hain Kitaab Ko Meri Baab Saare.

Haal e dil bhi batana nhi ja kr

Ab jo ruthey to kbhi manana nhi ja kr
Seh laingey dukh usey sunana nhi ja kr

Laut aayga zaroor agr vo mera hua
Aj sey tey hua khud bulana nhi ja kr

Usey chaha hai usey chahtey rhaingey
Usk dil main kia hai aazmana nhi ja kr

Miley to brsa daingey hum piyar us pe Saqi
Nhi to haal e dil bhi batana nhi ja kr

Bohat Asaan Lagta Hay

Kabhi Teri Rafaaqat Sey Nikalna Hi Nahin Mumkin
Kabhi Daaman Chura Laina Bohat Asaan Lagta Hay

Kabhi Tum Roth'tey Ho To Ajab Mushkil C Parrti Hay
Kabhi Tujhko Mana Laina Bohat Asaan Lagta Hay

Kabhi Samjha Karo Kuch Faisley Halaat Kartey Hain
Kabhi Waaday Nibha Laina Bohat Asaan Lagta Hay

Kabhi Kuch Din Tumharey Bin Guzertey Hi Nahin Laikin
Kabhi Muddat Bita Daina Bohat Asaan Lagta Hay

Tere qareb aa kay bari uljhano main hon

Tere qareb aa kay bari uljhano main hon,
Main dushmanon main hon k tere doston main hon,

Badla na mere baad bhi mouzu-e-guftago,
Main ja chuka hon phir bhi teri mehfilon main hon,

Mujh se bichar k tu bhi to roeyga umer bhar,
Yeh soch lay k main bhi teri khuwahishon main hon,

Tu hans raha hai mujh pey mera haal daikh ker,
Or phir bhi main shareek tere qehqahon main hoon.

To kia howa ?

Toota hai meray pyar ka bandhan to kia howa
Barsa hay meri aankh se saawan to kia howa

Yun bhi to saari duniya se kat kar jiya hon main,
Tu bhi howa hai ab mera dushman to kia howa,

Seenay mein dard aankh mein aansu sajay to hain,
khali hay teray pyaar se daman t okia howa

Mujh ko yaqeen hai k mohabbat b aaye gi,
Nafrat mein kat gaya mera bachpan to kia howa

mujh ko bhi pyaar oonchi uraanon se hay,
Muqaddar mein nahi koi nashaiman to kia howa

Kisi ki aas ban kar phir usay tanha nahi kartay

Kisi ki aas ban kar phir usay tanha nahi kartay
bhalay kitni bhi mushkil ho magar aisa nahi kartay

mohabbat mein shikayat ka kahin dastoor hota hay
gila kar kay mohabbat ko kabhi ruswa nahi kartay

wafa'ain dar haqiqat mein bari anmol hoti hain
kabhi apni wafa'aon ka sila maanga nahi kartay

Ana Ki Baat Hai Warna Mohabbat Ab B Baki Hai

Ana Ki Baat Hai Warna Mohabbat Ab B Baki Hai
Usay Meri Mjhe Uski Zarorat Ab B Baki Hai

Koi Mushkil Agar Darpaish Aye Laut Ana Tum
Tumhare Waste Dil Mie Aqeedat Ab B Baki Hai

Bala Ki Sard Mehri Hai Meri Har Baat Mie Lekin
Mere Seenay Mien Chaht Ki Hararat Ab B Baki Hai.

Meri baat aur hai mai ne to mohabbat ki hai

Tum mujhe bhool bhi jao to ye haq hai tumko
Meri baat aur hai mai ne to mohabbat ki hai

Tum agar aankh churao to ye haq hai tumko
Meri baat aur hai mai ne to mohabbat ki hai

Mere dil ki mere jazbaat ki qeemat kia hai
Uljhe uljhe se khayalat ki qeemat kia hai

Mai ne kyun pyar kiya,tum ne kyun na pyar kiya
Inn pareshan sawalaat ki qeemat kia hai

Tum jo ye bhi na batao to ye haq hai tumko
Meri baat aur hai mai ne to mohabbat ki hai

Tumko dunia k gham-o-dard se fursat na sahi
Sab se ulfat hai ,mujh se hi mohabbat na sahi

Main tumhara hon wohi mere liye kya kam hai
Tum mere ho k raho ye meri qismat na sahi

Aur mere dil ko jalao to ye haq hai tumko
Meri baat aur hai mai ne to mohabbat ki hai

Lout aana

Jab kabhi tera dil ghabraey ager tujhe meri yad aay tu lou ana,
Ager tera sath koi choray ager koi tera dil turey tu lout ana,

Kuch waqat achca guzra hai sath tumare
who waqat jab yaad aay tu lout ana,

Yahe waqat akser sath nai dete dil walon ka,
pas reh kar b ager koi sath na de tu lout ana,

Na jane teri itni yad q atti hai,
Ager yahe pegaam pohnch jaye tu lout ana,

Koi mujh ko.....

koi mujh ko mera bharpur sarapa la de
meray bazu,meri ankhe,mera chehra la de

naya mausam meri binai ko taslim nahe
meri ankho ko wohe khawab purana la de

koi khahish nahe tuj se ay meri umar e rawan
mera bachpan,mery jugnu,meri gurya la de

Sar Jhukaaoge To Patthar Devtaa Ho Jaayega

Sar Jhukaaoge To Patthar Devtaa Ho Jaayega
Itna Mat Chaaho Use Wo Bewafa Ho Jaayega

Hum Bhi Dariya Hain Humein Apna Hunar Maloom Hai
Jis Taraf Bhi Chal Parainge Raasta Ho Jaayega

Kitni Sachchai Se Mujh Se Zindagi Ne Keh Diya
Tu Nahin Mera To Koi Doosra Ho Jaayega

Main Khuda Ka Naam Le Kar Pee Raha Hoon Dosto
Zehar Bhi Iss Mein Agar Hoga Dawa Ho Jaayega

Sab Usi Ke Hain Hawa, Khushboo, Zameen-o-Aasmaan
Main Jahan Bhi Jaaoonga Us Ko Pata Ho Jaayega

Rooth Jaana To Mohabbat Ki Alaamat Hai Magar
Kya Khabar Thi Mujh Se Wo Itna Khafa Ho Jaayega

Ye ishq-o-muhabbat mehr-o-wafa

Alfaz kay jhootay bandhan mein
Aghraz kay gehray pardon mein
Har shakhs muhabbat kerta hai
Hala kay muhabbat kuch bhi nahi
Sab jhotay rishtay naatay hain
Sab dil rakhnay ke batain hain
Sab asli roop chupatay hain
Ehsas se khali loog yahan
Lafzon kay teer chalatay hain
Ik bar nazar mein aa kar wo
Phir sari umar rulatay hain
Ye ishq-o-muhabbat mehr-o-wafa
Sab jhooti suchi batain hain
Her shakhs khudi ke masti mein
Bas apni khatir jeeta hai