SMS / Text Messages

Kuch andhera b zaruri hai gham-e-yaar k sath

Kuch andhera b zaruri hai gham-e-yaar k sath,,,
ab diya koi na rakhe meri dewaar k sath,,,

mein jo ik umer masafat mein raha, tab jana,,,
rah b chalti rahi hai, meri raftaar k sath,,,

ham to yusaf nahi,bazaar-e-sukhan mein "FRAAZ"
yun hi chal parte hein,har ik kharidaar k sath.

Sun loo

PAS Aao, Ik Ilteja sun lo.
Pyar Ha Be-Panah sun lo

Ek Tumhi ko Khud sa Manga ha..
Jab b Koi Dua Mangi Sun lo.

Ibteda Ishq ki How Tum Sa.
Tum ko Chahat Ki Inteha Sun lo.

Bin tere je nahi sakunge main..
Lot Ao mere Sada sun lo.

Dekh lo Zindagi Adhuri ha..
Na Raho aur ab JUDA sun lo..

Hasrate Reh Jayegi

Hasrate reh jayegi apke bin adhuri,
zindagi na hogi apke bin poori.
Ab aur sahi jaye na ye doori,
Jeene k liye apka saath he bahut zaruri.

Hoti Nahi Dosti

"Hoti nahi dosti kabhi chehre se"
"Dosti to dil se ki jati hay"
"Soorat unki khud hi pyari lagti hay"
"Kadar jinki dil se ki jati hai.

Hansty Me Rula Deta Hai

Wo Jo Milta hy to Har Dard Bhula Deta hy,
Jany kia Bat hai Dil Usko Dua Deta hy,
Wo Muje Pyar Se Roty me Hansany Wala,
Yaad Ata Hy To Hansty Me Rula Deta hy.

Kuch khone ko pyar kehte hain

Dil ki aawaz ko izhaar kehte hain,
jhuki nigah ko iqrar kehte hain,
sirf paane ka naam ishq nahin,
kuch khone ko bhi pyar kehte hain

Chup raho Khuda key liye

Bara maza ho jo mehsher meim hum karen shikwa
Woh minnaton sey kahen chup raho Khuda key liye.

Kaash k Duniya aisi ho…..

Koi dukh na ho koi ghum na ho,
Koi aankh kabhi num na ho,

Koi dil kisi ka tore na,
Koi sath kisi ka chore na,

Bas piyar ki nadiyan behti ho,
Kaash k Duniya aisi ho€¦..

sary jhagre ana key hote hain

Qurb key na wafa key hote hain
sary jhagre ana key hote hain

Wo humara hai is tarha se faiz
jaise bande Khuda key hote hain

Rishta Toot Jayega

Khayal-o-Khawab ho kar reh gai hain ronaqain ghar ki
Kisey maloom tha un ka sahara choot jayega

Na kar tameer khawaboon key mahal shab ki sihai main
Sahar hote hi in khawaboon se rishta toot jayega.....

Apno ko bhula dayta hai

na jane kis bat ki wo mujh ko saza dayta hai
mere hansti hoye ankhon ko rula dayta hai

hum ko maloom nahin koye to poocho us se
kya koye is tarah apno ko bhula dayta hai

shidat e ghum

ye keh kr mere dushman muje hansta chor gai
k tere apne hi kafi ha tuje rulane k liye