Poetry SMS / Text Messages

Rat gehri hai dar bhi saktey hain
Hum jo kehtey hain kar bhi saktey hain

Aap jo roothey to itna bhi na soocha
Hum to pagal hain mar bhi saktey hain

Wo naam tumhara hay

Koi chaand sitara hay
Koi phool se pyara hay

Koi khushi ka ishara hay
Koi dil ka sahara hay

Tumhai'n itna batana hay
Wo naam tumhara hay

Wo aur kia daikhay

Tere siwa bhi kai rung
Khush nazar thay magar

Jo tujh ko dekh chuka ho
Wo aur kia dekhey ... !!!

Ek ajnabi hay magar

Ek ajnabi hay magar
Rooh-shanas lagta hy

Meri tarha mujhy
Wo bhi udaas lagta hy

Karon talash tou ho
Shak wajood pe us k

Jo aankhai'n band karo'n
Aas paas lagta hay

Ishq ke sahare jiya nahi karte

Ishq ke sahare jiya nahi karte,
Gum ke pyalo ko piya nahi karte,

Kuchh Nawab dost hain hamare,
Jinko Preshan na karo to wo yaad bhi kia nahi karte

Apni Manzil Pe Pohanchna

Apni Manzil Pe Pohanchna Kisi Moa'jzey Se Kam Nahi 'Faraz'
Raah-Guzar Pathar K Hain Aur Hum-Safar Seeshey Ka ... !!!

Mujhe tanha honay nahi detay

Kitnay gharoor mai hai Wo mujhe tanha chor k "saqi"
unhein maloom nahi meray Aansu mujhe tanha honay nahi detay

Dil ghulam hai tera

tere siva nahi jachta koi nigahoon mai
jo to kahe to bikhar jaaon teri raahon mai

nazar kaneez teri, dil ghulaam hai tera
likha hua mere chehre pe naam hai tera.