Dekho Meri Aankhon Mai Khawaab Kis k Hai,
Dekho Mere Dil Mai Toofan Kis k Hai,
Tum Kehte Ho Mere Dil Ke Raste Se Koi Nahi Guzra,
To Phir Yeh Pairon Ke Nishan Kiske Hain..
Urdu poetry SMS / shayari sms messages (Urdu funny & love poetry)
Poetry SMS / Text Messages
Tum dilse pukar lena hum kafan chor denge
Panchi keh rahey hain k hum chaman chor denge,
aur sitare keh rahey hain ki hum gagan chor denge,
Agar tere ishq mein main mar bhi jaun ae sanam,
Tum dilse pukar lena hum kafan chor denge
Qasam tumhari tumhain itna piyar karta hoon
Main apna aj apna kal thumara nam karta hoon,
main apne javen ka her aik pal tumharay naam karta hoon,
Samait sako gay na jisay tum ta qayamat,
Qasam tumhari tumhain itna piyar karta hoon.
Dil ke armano ki manzil hai teri dosti
Zindagi ke tufano ka sahil hai teri dosti,
Dil ke armano ki manzil hai teri dosti,
Zindagi ban jaye jannat agar,
Maut ane tak sath rahe teri yeh dosti.
Zubaan se naam lete hain
Zubaan se naam lete hain,
Aankhon se aansu chalak jaate hain.
Kabhi hazaro baatein kiya karte the,
Aaj ek baat ke liye taras jaate hai.
Is duniya mein dost kam milenge
Is duniya mein dost kam milenge,
is duniya mein gham hi gham milenge,
jahan duniya nazar phair legi,
us mod per dost tumhe hum milenge.
Qatal karne ke liye teri muskaan hi kafi hai
Jeene ke liye tera armaan hi kafi hai,
Dil ke qalam se likhi yeh dastaan hi kafi hai,
Teer ki kya zaroorat e-janam,
Qatal karne ke liye teri muskaan hi kafi hai
Mushkil hota hai jawab dena
Koi aankhon aankhon se baat kar leta hai,
Koi aankhon aankhon mein mulakat kar leta hai,
Mushkil hota hai jawab dena,
Jab koi khamosh rehkar bhi sawal kar leta hai
Zindagi ka asli mukam abhi baki hai
zindagi ka asli mukam abhi baki hai,
hamare iradon ki imtihan abhi baqi hai,
abhi to naapi hai muthi bhar zameen,
aage sara asman baki hai...
Nakaam si koshish kiya karte hain
Nakaam si koshish kiya karte hain,
Hum hai ke unse pyar kiya karte hain.
Khuda ne taqdeer mein 1 tuta taara nahi likha,
Aur ek hum hai ke chand ki aarzu kiya karte hain!
Tumhare rooth jaane ke baad.
Royengi ye aankhein muskuraane ke baad,
Aayegi raat din dhal jaane ke baad,
Tum kabhi naa ruthnaa mujhse ae yaar,
Shayad ye zindagi hi na ruth jaaye,
Tumhare rooth jaane ke baad.
Hum aap ko kabhi khoney nahin denge
Hum aap ko kabhi khoney nahin denge,
Juda hona chaha to bhi hone nahin denge,
Chandni raton mein aye gi meri yaad,
Meri yaad ke woh pal aap ko sone nahin denge.