Poetry SMS / Text Messages

Lamha lamha intzar kiya us lamhe k liye
or woh lamha aya bhi to bus ek lamhay k liye,
guzarish yehi hai khuda se k kash
woh lamha phir aye 1 lamhe k liye.

Yaad ban kar tumhe rulate rahenge

hum farz-e-dosti yuhi nibhate rahenge,
waqt bewaqt yuhi satate rahenge,

dua karo ki umar bahut lambi ho humari,
nahi to yaad ban kar tumhe rulate rahenge.

Meri har ek dhakan aap ke liye hai

Meri har ek dhakan aap ke liye hai,
Meri har ek muskuraht aap ke liye hai,

Aap ki ada mere dilko churane ke liye hi hai,
Ab toh meri yeah zindagi aap ke intezaar ke liye hai!!!

Har shakal bus teri hi nazar aati ha

Tumhari hansi ki ek nazar yaad aati hay,
Zindagi ki har shaam subah nazar aati hay,

Jab say daikha hay tujhey dil ki aankhon say,
Har shakal bus teri hi nazar aati ha..

Pyar chupta nahi ankhen chupane se

Arz hai

pyar chupta nahi ankhen chupane se,
dil rukta nahi kisi k samjane se.

Ruk jati hai dhadkan tujhe bhul jane se,
hum tujhe yaad karte hai jeene k bahane se.

Rahtey hain jo nigaho se door

ye dosti ke rishte bhi kitne ajeeb hote hai...
sab apne apne naseeb hote hain..

rahtey hain jo nigaho se door..
wahi dil ke kareeb hote hain

chand kisi aur ka ho gaya

Arz hai:
Dil ke angan se chand ka didar ho gaya,
mai dewana ho gaya,chand badalo mai kho gaya,

maine badal hatne ka intjar kiya,
tabtak chand kisi aur ka ho gaya..

jo khud gulab hai usko kya gulab dun

Tumhari is ada ka kya jawab du,
apne dost ko kya uphar du,

koi acha sa phool hota to mali se mangwate,
jo khud gulab hai usko kya gulab du...

Palkon me qaid kuch sapne hain

Palkon me qaid kuch sapne hain...
kuch begane kuch apne hain...

na jane kya KASHISH hay in khayalon main...
woh ghair hoke bhi kitne apne hain...

ek hissa hume bhi banaye rakhna

Hume apne dil mein basaye rakhna,
hamari yaadon k chirag jalaye rakhna,

bahut lamba hai safar zindagi ka mere dƒöst,
ek hissa hume bhi banaye rakhna.

Us ki yaadon main

Us ki yaadon main,
Us ki baaton main,
Kahin mera aqs bhi jhilmilata hoga,

Lakh masroof hoga,
Apnay kamoon main,
Phir bhi hamain soch ker
kabhi to muskurata ho ga.