Kuch meethe pal yaad aate hain,
Palko par ansu chor jate hain,
Kal koi aur mil jaaye toh hamain na bhool jana,
Dosti ke rishtey zindagi bhar kaam aate hain.
Urdu poetry SMS / shayari sms messages (Urdu funny & love poetry)
Kuch meethe pal yaad aate hain,
Palko par ansu chor jate hain,
Kal koi aur mil jaaye toh hamain na bhool jana,
Dosti ke rishtey zindagi bhar kaam aate hain.
Har waqt tum ko yaad karta hu,
Ha main tumsein pyaar karta hu,
Kyun tum mujhse khafa ho,
Main tumhi pai to marta hu.
I love you
Tum bin zindagi sooni si lagti hai,
Har pal adhoori si lagti hai,
Ab to in sansoon ko apni sansoon se jor do,
Warna zindagi kuch pal ki mehmaan lagti hai.
Teri bewafai ko us wafa k saath nibhayenge,
K teri ankhon say bhi aansoo nikal jayenge,
Yeh wada hai k hum tujhe us mod tak layenge,
Jahan hum apna dard teri aankhon say chalka kay dekhayenge.
Tamam gham bhool janey ko G karta hai aaj,
Muskuranay ko G karta hai,
Bohut G liiye sahare aap ki yadoon k,
Aaj aap k paas aaney ko G karta hai
Kisi k PYAR ko bhulana na aya hamain
Kisi k DIL ko dukhana na aya hamain
Kisi ki YAAD mein tarapna to sekh Liya !
Magar apni YAAD men kisi ko tadpana na aya hamen.
Har subah naye kafile me sawaar hota hun.
Har dopahar naye dardse najre chaar hota hun.
Shaam ko gahrati hai darde yaari..
Phir nayi subah ka intzar karta hun.
Kuch log yadon ko dil ki tasveer banate hai,
doston ki yadon me mehfil sajate hain,
hum thode alag hai jo kisiko yad anay
se pehle unko apni yad dilate hai!
Ap lakh bhula k dekh lo
hum dilse yad ayenge
honge apke bade chahne wale
hum sabse badhke chahenge
ap pani p p k thak jana
hum hichkian ban ban ke ayenge.
Sulagti raat ghani chandni si hoti hai
Tumhare sath ye duniya nayi si hoti hai
Gale mein uske khuda ki ajeeb barkat hai
Wo bolta hai to ik roshni si hoti hai
Kiran nikalne se pehle gulab dekhe hai
Tumhari yaad mein wo tazgi si hoti hai
Chiraghon se agar andhere door hote,
To chandni ki chaahat kyun hoti,
Kat sakti agar ye zindgi akailay,
To dost naam ki cheez hi kyun hoti?
Na illm tha mohabbat kya cheez hai,
Na bekarari na rusvayi ka pata tha,
Tum kya aaye mere zindagi mein,
Hum apna naam tak bhool chuke.