Ghazal SMS / Text Messages

Alfaz k jhoote bandan main
Raz k gheray pardon main
har shakhs Mohabat karta hai

halan ke mohabat kuch bhi nhin
sab jhoote Rishte nate hain
Sab dil rakhne ki batein hain
sab asli roop chupate hain

ehsas se khali log yahan
lafzon k teer chalatey hain
ik bar nazar main aa kar wo
phir sari umer rulate hain

ye ishq mohabat mehr-o-wafa
ye sab kehne ki batain hain

har shahks khudi ki musti main
Bus apni khatir jeeta hai...

ye hasrath har jati hai

Zamane se sona tha mohabbat har jati hai,
Jo chahat ik tarafa ho wo chahat har jati hai,
Kahi par bhi duao ka ik lafz asar kar jata hai,
Kahi par barso ki ebadat har jati hai,
Mohabbat kab kisi ko doshmani ka dars day,
Ek arzoo see hai ke un ko bhol jai hum,
Magar un ki yaad ati hai ye hasrath har jati hai

mere hamsafar

Mere Humsafer, mere Hum-nasheen
Main ne Rab se manga to kuch nahi
Per jub bhi mangi koi dua!
Nahi manga kuch bhi "Tere Siwa"
Ye talab kya k mera Khuda!

Naye ehad ki
Sabhi rahtain, Sabhi chahtain,
Wo ata kre tujhe manzlain,
Ye talab kya k mera Khuda!
Tujhe Bakht de,
Tujhe Taj de
Tujhe Takht de,
Mere Humsafer,
Mere Chara-ger,
Ye hai mohabbat ka khatan safer
Mere sath chalna zra soch ker
Mere pass zarr na koi hunar
Phir bhee dekh to mera hosla
Mere paas jo kuch, Sabhi tera
Nahi aur kuch bhi tere siwa
Meri Dosti
Meri Zindgi
Meri Khamoshi
Meri Be-basi,
Meri Subha Bhi
Meri Sham bhi
Mera Ilm bhi
Mera Naam bhi,
K jo mil saken mere Daam bhi,
Wo sabhi kuch tujh ko ata kre;
Mere chara gr tu yaqin to kr
Mujhe mangna to na aa ska
Main ne phir bhi mangi yehi Dua
K gwahi de ga mera Khuda
Maine jub b us se talab kya!
Nahi manga kuch bhi "Tere Siwa"

Ek bhegi hui si raaat mile

Ek bhegi hui si raat mile
us raat me tera hath mile

tere lab se tapken jo bonden
unhe mere labon ka sath mile

kuch tum bi behke behke se
kuch mujh pe nasha sa tari ho

har pal me chaye madhoshi
Ek aisi raat hamari ho

phir tum aao meri bahon me
main pyar karon tumhe ji bhar ke

tum mujhse thora sharma jao
sharma k galay se lag jao

main jitna tumko pyar karon
tum itne hi betab ho jao

hamein pyar k kuch lamhat milen
Ek bhegi hui si raat mile....!

aik aas lagana chahte hain

aik aas lagana chahte hain
tere dar per ana chahte hain

kuch nazre karam ho hum ager
hum sarko jhukana chahte hain

kia dogey hame sari khushian
hum daman ko pehlana chahte hain

tere kandhe pe sar rakh ker hum
gham apna sunana chahte hain

tum kya chahoge hum se kaho?
hum khud ko mitana chahte hain

Khuwab jhoote kisi ko dikhaya nahi karte

Khuwab jhoote kisi ko dikhaya nahi karte,
Mere dost! Yun kisi ko satya nahi karte,
Ek baar yun kisi ko keh ker apna,
Daman phir uss se churaya nahi karte,

Us ke intezaar se bhala kya ho ga haasil,
Aane ka keh kar bhi jo aaya nahi karte,
Rakhte hon jo dard bhara dil apne seene mein,
Doosron ka dil phir woh dukhaya nahi karte,

Do qadam saath chal kar jo judda ho jayen,
Aise logon ko toh humsafar banaya nahi karte,
Kiss tarha guzarti hogi zindagi unn ki,
Pehli mohabbat ko jo dil se bhulaya nahi karte

Titlee jo ek mujh ko mili thi kitaab main

Titlee jo ek mujh ko mili thi kitaab main
Woh apna aks chore gayi mere khuwaab main

Ab tak woh mere zehen main uljha sawaal hai
Shaamil rahi jo har ghari mere nisaab main

Aankhon main neend hai na koi khuwaab door tak
Rehte hain hum bhi aaj kal waise azaab main

Milta hai gardishon se gale lag ke chaand bhi
Aaye the simat ke faasle kitne saraab main

Aakhir meri wafa ka mujhe kya sila mila
Likha na aik harf bhi us ne jawaab main

Es Dil me Salamat ha ab tak

Es Dil me Salamat ha ab tak
Wo Shokhi-e-lab wo hraf-e-wafa,

Wo naqsh-e-qadam wo aks-e-hina
So bar jisy choma Hum ne,

Es Dil me Salamat ha ab tak,
Wo Gard-e-alm wo Deeda-e-num,

Hum jis me chupa ker rakhty thy,

Tasweer Bikharti Yaadon ki,

Zanjeer pighalty Waadon ki,

Poonji nakam Iradon ki,

Ay teiz Hawa Naraz na ho,

Es Dil me Salamat ha ab tak,
Kuch rezy Naram Sawalon k,
Kuch Dar Anmol khayalon k,

Ek Sacha Roop HaQiqat ka,
Ek JHOOTA Lfz MUHABAT ka.

Mujrim bhi tha mohsin bhi mera lagta tha

Mujrim bhi tha mohsin bhi mera lagta tha
Dast-e-katil bhi mujhy dast-e-HinA lgta tha

Ary daikhny waly to usy daikhty reh jaty thy
Han wo shaks mohabt ka KHUDA lagta tha

kanton bhari shakh nazar aata tha kabi
Phool lagta tha kabi baad-e-saba lagta tha

Ab logon sy pochta phirta hai mare ghar ka pata
Main jisy sare zamany sy bura lgta tha

Us ki batein thin ravayat sy hat kar MOHSIN
Sub main rehta tha magar sub sy juda lgta tha

Mujhe kamil yaqeen hai tum

Mujhe kamil yaqeen hai tum meri ban jaao gi ek din
tumhare dil mai utroon ga mohabbat ki sada ban kar

Mere josh-e-janoon par sari khalqat mujhko takti hai
zara tum bhi nazar dalo na bethoo yun Khuda ban kar

Tumhain yeh raaz batla doon k aksar chand ratoun main
teri aangan mai aata hun sitaroun ki zeeya ban kar

Jigar ka khoon laya hoon tere singhaar ki khatir
hatheli par racha leyna ye mehkey ga Hina ban kar

Iqrar-e-wafa tum ne nahi karna

Tumhe zid hy k iqrar-e-wafa tum ne nahi karna
Meri taqdeer mein rang-e-HinA tum ne nahi bharna

Tumhe manzoor he shayad mera ghut ghut k he marna
Tumhare faisaly per ab,sar-e-tasleem kham hoga

Main apny hont see loon ga
Yu he bekaif gee loon ga

Tumhare hijer ki tasveer ko dil main saja loon ga
Tumhare jaber apny sabar ko main aazma loon ga

Magar ek baat main pounchoon
Tumhe apni qasam

Tum rakh k apny ser per haath
Phir phir khena

Tumhare dil mian mere naam se hal chul nahi hoti
Mere khat parh k jazbo mian koi tufan nahi uthta

Jawan raaton mein meri yaad ki shamay nahi jalti
Tumhari dharkano main kya meri yadien nahi palti

Tu phir tum ne azziyat ki ye rada
Kyoun taan rakhi hai

Ye dil mian thhaan rakhi hai
Bahut baichan khud rehna

Mujhe barbad sa rakhna
Bhulana bhi tu uss k sath kuch kuch yaad sa rakhna

Har ek andaaz ko apne sitam ejaad sa rakhna
Agar es shauq se tum ko koi taskeen milti hai

Tu mere zakhm-e-talab ka "tazkara" ab kam se kam hoga

Kis ki thi ?

Zakhm_e_Tanhai Mein Khushbo_e_HinA Kis Ki Thi
Saaya Deevar Per Mera Tha, Sada Kis Ki Thi

Os ki Raftaar Say Lipti Raheen Ankhein Meri
Os Ne Murr Kar Bhi Na Dekha k Wafa Kis Ki Thi

Ansuon Say He Bhar Gaya Daaman Mera
Haath To Main Ne Uthaaya Tha, Dua Kis Ki Thi

Meri Aahon Ki Zaban Koi Samjhta Kaisay?
Zindagi Etni Dukhi Meray Siva Kis Ki Thi

Aag Say Dosti Os Ki Thi, JaLa Ghar Mera
Dee Gai Kiss Ko Saza, Aur Khata Kis Ki Thi . . .