Pyar chupta nahi chupanay say
posted in Ghazal SMS |
Laakh miltay hain hum bahanay say
Pyar chupta nahi chupanay say
Ummar guzari hay dar-badar apni
Hum hillay thay zara thikanay say
Aik jadu sa kar gaye mujh par
Kuch makaan thay puranay say
Baat karta raha main us say magar
Baat banti nahi bana’nay say
Ho jo mumkin to yeh bhi kar dekho
Tum nikalo humain fasanay say
Meri chahat main bhi woh baat na thi
Woh bhi rukhsat hua bahanay say
Yeh bhi rakha hay dhiyaan main hum nay
Teer palta agar nishanay say…!!!
Similar SMS / Text messages
- Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
- Main sun k uski sub batain
- Itna hi kehna hay tum say, mumkin ho to aa jaana
- Acha wohe raha jo in ko nibha gaya
- A Ghazal by Husband
- Tum aa ker mujhi say chura lou mujhey
- Kaisay kahon k apna bana lo mujhey


