SMS4Smile.com

Urdu poetry SMS / shayari sms messages (Urdu funny & love poetry)


Miss You SMS / Text Messages

Neend aati nahin aur raat guzar jati hai

Kitni jaldi yeh mulakat guzar jati hai,
Pyaas bujhti nahin ki barsaat guzar jati hai.

Apni yadon sey keho ki yun na sataya karain,
Neend aati nahin aur raat guzar jati hai

posted in Miss You SMS, Poetry SMS

Taras gaye aapke deedar ko

Taras gaye aapke deedar ko,
Dil phir bhi aap k liye dua karta hai,

Hum se to acha aap k ghar ka aaina hai,
Jo rooz aapko dekha to karta hai…

posted in Poetry SMS

Mita dain gay yeh duri, yeh faslay sab hi

mita dain gay yeh duri, yeh faslay sabhi!
kaho gi ik baar kay milo aa kay kabhi!

na hon gay durr phir tum say is zindagi main!
khula rakho tum dar apna, hum atay hain abhi!

posted in Poetry SMS

durr kahin wadi main rahta hai woh!

durr kahin wadi main rahta hai woh!
har lamha khayal main rahta hai woh!

kaisa hai woh kis haal main hai woh!
dil kay har sawal main rahta hai woh!

posted in Poetry SMS

Mere ashqon ka har qatraa,

Mere ashqon ka har qatraa,
Tere Mohabbat ki nishaani hai,

Jo tu samjhe to moti hai,
Tu na samjhe to paani hai

posted in Poetry SMS

Apko dekh kar dekhta reh geya

Apko dekh kar dekhta reh geya
kiya kahoon or kehne ko kiya reh geya.

Andhiyon k iraday to achay na thay
yeh diya janay kaise jalta reh geya…

posted in Poetry SMS

Wo khush naseeb hain k unhe auron ka pyar mila

wo khush naseeb hain k unhe auron ka pyar mila,
hum apni takdeer say lartay reh gaye,

hum to unki yaadon ko bhi samait na paaye,
wo hamaray ashqon k zariye beh gaye…….

posted in Poetry SMS

Safaid saari par jab tum laalbindi lagati ho

Safaid saari par jab tum laalbindi lagati ho
khuda ki kasam ambulance nazar aati ho

farq sirf itna hai ke wo ghayal ko le jati hai
or tum achay bhalay ko ghayal kar jati ho

posted in Poetry SMS



Page 54 of 101« First...«51525354555657»...Last »