SMS4Smile.com

Urdu poetry SMS / shayari sms messages (Urdu funny & love poetry)


Poetry SMS / Text Messages

Hamain aap yun hi sharabi na kahiye

Kuch nasha to aapki baat ka hai,
kuch nasha to dheemi barsaat ka hai,

Hamain aap yun hi sharabi na kahiye,
is dil par asar to aap se mulakat ka hai!

posted in Poetry SMS

Apni bay basi kis tarah kahain

Aankhon ki zuban woh samajh nahin patay,
Hont magar kuch bhi keh nahin paatay,

Apni bay basi kis tarah kahain,
Koi hay jis k bina hum rah nahin patay.

posted in Poetry SMS

Totay howay paimanay main jaam nahin aata

Totay howay paimanay main jaam nahin aata,
Ishq k mareez ko araam nahin aata,

Aey dil tornay walay tuney yeh to socha hota,
Toota howa dil kisi k kaam nahin aata.

posted in Poetry SMS

Zindagi kisi ki amanat nahi hoti

Zindagi kisi ki amanat nahi hoti,
Amanat main kabhi kayamat nahi hoti,

Dil ko sambhal kar rakhna,
Meri dosti ki qaid main zamanat nahi hoti.

posted in Poetry SMS

Nannay sey dil me armaan koi rakhna

Nannay sey dil me armaan koi rakhna,
Duniya ki bheer main pehchan koi rakhna.

Achey nahi lagtey jab rahtey ho udas,
In hoto pe sada muskaan wohi rakhna.

posted in Poetry SMS

Aap apna Inbox khali rakhna

Kadam kadam pe hawao se talukh rakhna,
Dosti ke naam pe dosti ka asra rakhna.

Hamari dosti ki khusbu zarur aayegi.
Aap apna INBOX khali rakhna.

posted in Poetry SMS

Haqiqat samjho ya afsana

Haqiqat samjho ya afsana;
Begana kaho ya deewana;

Suno mere dil ka fasana;
Teri dosti hai mere jeene ka bahana.

posted in Poetry SMS

Zindagi mohtaj nahi manzilon ki

Zindagi mohtaj nahi manzilon ki,
Waqt har manzil dikha deta hai.

Marta nahi koi kisi se juda hoke,
Waqt sabko jina sikha deta hai.

posted in Poetry SMS



Page 38 of 101« First...«35363738394041»...Last »