Loading ...
Meri Laghzishen na Chuna karo Meri Ghaltiyan na Gina Karo,
Ye Qadam Qadam ki Hudood kya Mere sath sath chala karo,
main khulay mizaj ka shakhs hoon main takallufat se Marwa,
ye jo Mehrbani ka lafz hai, ise tum na mujh se kaha karo,
Kahin tum na ho jao besakun koi Bad'dua na tumhain lage
ye jo khoye khoye se log hain inhe dekh kar na hasa karo
ye dua hai Rab-e-Rahim se Teri Tazgi ko khizan na ho
ye bahar tujh se jala kare sada muskurate raha karo Sada muskurate raha karo....
posted in Ghazal SMS
Loading ...
Kuch Dil Ki Lagi Tum Chero, Kuch Dil Lagana Hum Sikhayen..
Kuch Pyar Ki Baatein Tum Karo, Kuch Pyar Nibhana Hum Sikhayen.
.Kuch Nazar Ka Ishara Tum Karo, Kuch Aankh Milana Hum Sikhayen..
Kuch Jan KI Baazi Tum Lagao, Kuch Jan Sey Jana Hum Sikhayen..
Kuch Thora sa Hans K Tum Dakho, Kuch Muskurana Hum Sikhayen..
Kuch Milney Ki Aas Tum Do, Kuch Waqt Pey Aana Hum Sikhayen..
Dil Per Tum Bus Hath Rakh Do, Kuch Dil Dharkana Hum Sikhayen..
Kuch Pyar Sey Paas Tum Aao, Kuch Galey Lagana Hum Sikhayen
posted in Ghazal SMS
Loading ...
Mil Kar Bhi Ussay Hasrat-E-Mulaqat Reh Gai, Baadal To Ghar Aaey thay Barsaat Reh Gai,
Wo Aaj Yun Mila K Hamain Janta Na Ho, Lab To Meray Khulay Thay Magar Baat Reh Gai,
Mai Haar K Bhi Khush Hoon k Tum Jeet To Gaey, Qismat Main Meri Maat Thi So Maat Reh Gai,
Daaman Main Kya Rakha Hai Is K Siwa Bas, Bakhshay Jo Tu Nay Zakhm Wo Soughaat Reh Gai,
Kya Kya Badal Rahay Hain Yahan Mousam Khabar Nahi, DiL K Nagar Main Raat Thi So Raat reh Gai... )
SaiN
posted in Ghazal SMS
Advertisement Loading ...
Surkh gulab k sare mausam tere naam, Har subha ka pehla ujala tere naam,
Teri yaad ka behta darya mere liye, Behti jheel main phool KANWAL ka tere naam,
Jitnay khawab Khuda ne mere naam likhay, Un khawabon ka resha resha tere naam,
Tere bina jo umr betai beet gai, Ab is umr ka baqi hisa tere naam
posted in Ghazal SMS
Loading ...
Khaali jaam liye baithe ho,un aankhon ki baat karo, Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo,
Jo peekar mast huey hain un ke ziker se kya hasil Jin tak jaam nahin pahuncha hai un pyaason ki baat karo
Chup rehney se kut na sakegi saadiyon lambi raat yahan, Jin yaadon se dil roshan hai, un yaadon ki baat karo
Phir palkon par jugnu chamke,aankhon mein ghata si lehrai Thandi hawa ka ziker karo, Kuch bheegi ruton ki baat karo
Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo, Khaali jaam liye baithe ho, un aankhonki baat karo..
posted in Ghazal SMS
Loading ...
"Mein ne to bohat chaha magar wo mila he nahi ... Laakh koshish ki magar fasla mita he nahi... Us ko majboor zamane ne is kadar kar diya k... Meri kisi saada par woh thehra he nahi... khuda se jholi pehla kay manga tha usay ... Khuda ne meri kisi dua ko sunna he nahi... Har aik se pucha sabab us kay na milne ka ... Har eik ne kaha woh tere liye bana hi nahi...!!
posted in Ghazal SMS , Sad SMS
Loading ...
Kachi devaar hun Thokar na lagana mujhko, Apni nazaron me Basa kr na girana mujhko
Tumko ankhon me tasavvur ki tarh rakhta hun, Dil me dhadkan ki tarh tum B basana mujhko
Baat karne me jo mushkil ho tumhe mahafil me, Main samajh jaoga nazron se batana mujhko,
Vaada utana hi kro jitna nibha sakte ho, Khvab pura jo na ho vo na dikhana mujhko
Apne rishte ki nazakt ka bharm rakh lena, Main to Aashiq hun deevana na banana mujhko
posted in Ghazal SMS
Advertisement Loading ...
Bhari mehfil mein tanha rehna acha lagta hai Tere barey mein sochte rehna acha lagta hai
Kabhi pholon mein, kabhi kaliyon mein Tujh ko hi dhoondhte rehna acha lagta hai
Meri zindgi ki khushiyan tumhi se hain wabasta Rab say sirf tumhein hi mangna acha lagta hai
Tumharey baghair zindgi ka koi tasavur nahi hai Kuch is tarah tumhari tamanna karna acha lagta hai
Tum hi ko chaha,tum hi ko chahtey hain Tumhi ko chahtey rehna acha lagta hai
posted in Ghazal SMS