SMS4Smile.com

Ghazal SMS collection in roman urdu.


Ghazal SMS / Text Messages

Aankhain Khuwab Dekhti Hain

Aankhain khuab dekhti hain
Kisi say mil janey ka
Ya khud ko kho denay ka
Tanha reh janay ka
Khud ko aar denay ka,
Chahat haar denay ka

Aankhain khuab dekhti hain

Bichray huye lamhon ka
Kisi raastay per mil janay ka
Zakhmon kay sil janey ka
Zamanay kay guzer janay ka
Khuab kay hasil ki haqeeqat ka
Haqeeqat ka khuwab main tehleel honay ka
Bikhray khuabon ki takmeel ka
Tum to khud ik khuwab ho
Husn ka, jawani ka
Ik dard bhari kahani ka!!

posted in Ghazal SMS

Itna hi kehna hay tum say, mumkin ho to aa jaana

baat chali teri aankhon say ja pohnchi paimanay tuk
kheinch rahi hai teri ulfat, aaj mujhey maikhanay tuk

ishq ki batain ghum ki batain, dunya walay kertay hain
kis nay shama ka dukh dekha, kaun gaya parwanay tuk

ishq nahin hay tum ko mujh say, sirf bahanay kerti ho
yun hi bahanay qayam rakhna, tum meray mer jaanay tuk

itna hi kehna hay tum say, mumkin ho to aa jaana,
aa hi gayai tou rukna ho ga, aankhon k pathranay tuk

posted in Ghazal SMS

Meri aankhon main raho, meri aankhon main raho

Meri aankhon main raho meri aankhon main raho,
Roshni ban k meray ghar k chiraghon main raho.!

Tera wada bhi na siyasi ho,
Ab fazaon mein na udasi ho!
Chuu k qadmon ko her khushi guzray,
Kash ab yun hi zindagi guzray!
Tum meray sath meray din meri raaton main raho,
Meri aankhon main raho meri aankhon main raho!

Pyaar mera tujh say kahta hay,
Dil ki dharkan mein tu hi rehta hay!
Preet main teri ban k kho jaon,
Meera k jaisi tu bhi hoo jayai!
Ban k radha tum meri murli ki tano main raho,
Meri aankhon main raho, meri aankhon main raho.!!

Tujhey chaha hay tujhay chahonga,
Mai na chahat say ba’az aaonga,
Teri ulfat k jhulay ain jhulun,
Saath tu day tou aasman chu lun,
Gungunaon main tujhay, dil k taron main raho,
Meri aankhon mein raho, Meri aankhon mein raho

posted in Ghazal SMS

Ham say chahta tha k hum iltija karain

Kamzoor badbaan hay, hawa taiz kia karain
Aa apni kashtiyon ko supurd-e-khuda karain !

apni tabahiyon main hi jub apna haath ho
phir dhushmano k waastay kiya bad-dua karain

Shaki-e-namurad ko tarsaya umer bhar
Ham say chahta tha k hum iltija karain

Hamnay yun ghurbaton main raat bitayee hay sanam,
Bhookay faqeer ko ab rukhsatzada karain

Duniya teray faraib say jobach k nikle
To sahiloon pay hum bhi namazain ada karain

posted in Ghazal SMS

Aankhon aankhon main

Guzar gaee raat aankhon aankhon main
Ho gaee mulaqaat aankhon aankhon main

Sadiyoun say piyaasi thee mohabbat
Ho gaee bersaat aankhon aankhon main

Mil na saka tha dil kabhi dil say
Ho gaee mulaqaat aankhon aankhon main

Ahad-e-wafa or qasmoon ki bhi
Ho gaee shuruaat aankhon aankhon main

Day diya dil aik doojay ko
Ho gaee soghaat aankhon aankhon main

Sab rasmoon riwajoon ko Saqi
Ho gaee maut aankhon aankhon main
 

posted in Ghazal SMS

Jo mila hay woh mila ban kay paraya mujh ko

Phir kisi yad nay shab bhar hay jagaya mujh ko
Kiya saza di hay mohabat nay khudaya mujh ko
 
Din ko aaram hay na rat ko hay chain kabhi
Janay kis khaak say qudrat nay banaya mujh ko
 
Dukh to yeh hay keh zamanay main milay ghair sabhi
Jo mila hay woh mila ban kay paraya mujh ko

Jab koi bhi na raha kandha meray ronay ko
Ghar ki deewaron nay seenay say lagaya mujh ko
 
Youn to umeed-e-wafa tum say nahein hay koi
Phir charaghon ki tarah kis nay jalaya mujh ko
 
Bewafa zindagi nay jab chorh diya hay tanha
Maut nay payar say pehloo main bithaya mujh ko

Woh diya hoon jo mohabat nay jalaya tha kabhi
Gham ki andhi nay sar-e-sham bujhaya mujh ko

Kaisay bhoolon ga wohi wasl kay lamhay
Yad aata raha zulfon ka hi saya mujh ko

posted in Ghazal SMS

Apna Ehsas mar na jaye kahin

Apna Ehsas mar na jaye kahin
Dard had se Guzar na jaye kahin

Un ko dekhey hoye hoi Sadyan
Un ka Chehra bikhar na jaye kahin

Ab k Awaz doon to aa jana
Dil Deewana Sudhar na jaye kahin

Un ka Wada to hai magar Dil ko
Darr hai k kafir mukar na jaye kahin

Dard, Jugnoo, Hawa, Giley Shikwey
Yeh Mukaddar Sanwar na jaye kahin

Meri Dunya hai Dard ki Surat
Gul ki Surat Nikhar na jaye kahin

Khak se Aab tak to aa pohnchey
Ab yeh Darya Utar na jaye kahin

Yeh Mohabbat b ek Bala theri
Hum ko Darr hai wo Darr na jaye kahin

Is liye Muskuraye phirta hoon
Un ki Aankh b na bhar jaye kahin

Dil se guzra to hai magar Saqi
Apni Jaan se guzar na jaye kahin

posted in Ghazal SMS

Chupke chupke ro lena

Jab seena gham se bojhl ho aur yaad kisi ki aati ho,
Tab kamre mein band ho jana aur chupke chupke ro lena,

Jab aankhein bhaari ho jaayen aur yaad mein meri bhar aayen,
Phir khud ko dhoka mat dena,aur chupke chupke ro lena,

Jab palken qarb se mondi ho aur sab samjhe tum sote ho,
Tab chehre par takiya rakh lena aur chupke chupke ro lena,

Yeh duniya zalim duniya hai…yeh baat bahut phelayegi,
Tum sabke saamne chup rehna aur chupke chupke ro lena,

Jab baarish chehra dho daale aur ashq bhi bonden lagte ho,
Woh lamha hargiz mat khona aur chupke chupke ro lena.

posted in Ghazal SMS



Page 17 of 18« First...«12131415161718»