SMS4Smile.com

Ghazal SMS collection in roman urdu.


Ghazal SMS / Text Messages

Ab Agar Aao To Jaane ke Liye Mat Aana

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (4 votes, average: 2.75 out of 5)
Loading ... Loading ...

Ab Agar Aao To Jaane ke Liye Mat Aana
Sirf Ahsaan Jataane ke Liye Mat Mana

Maine Palkon Pe Tamannaen Saja Rakhi Hain
Dil Par Umeed ki 100 Rasmen Jala Rakhi Hain
Ye Hanseen Shamen Bujhaane ke Liye Mat Aana

Pyar ki Aag Main Zanjeer Pighal Sakti Hai
Chahne Walon ki Takdeer Badal Sakti Hai
Hoon Bebas Ye Batane ke Liye Mat Aana

Mujhse Milne ki Agar Tumko Nahi Chahat koi
Tum Sirf Rasmen Nibhane ke Liye Mat Aana

posted in Ghazal SMS |

Raat Se Dar Lagta Hai…

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (3 votes, average: 3.67 out of 5)
Loading ... Loading ...

Baat Din Ki Nahi, Ab Raat Se Dar Lagta Hai…
Ghar Hai Kacha Mera, Barsaat Se Dar Lagta Hai…

Tere Tohfay Ne To Bas Khoon Ke Aansoo Hi Diye…
Zindagi Ab Teri Saughaat Se Dar Lagta Hai…

Pyaar Ko Chor Ker Tum Aur Koi Baat Karo…
Ab Mujhay Pyaar Ki Har Baat Se Dar Lagta Hai…

Meri Khaatir Na Wo Bandnaam Kahein Ho Jaein…
Iss Liye Unn Ki Mulaqaat Se Dar Lagta Hai…

posted in Ghazal SMS |

Kisi ki aankh se sapne chura kar kuch nahi milta

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (3 votes, average: 2.67 out of 5)
Loading ... Loading ...

Kisi ki aankh se sapne chura kar kuch nahi milta
Mandiron se chiragon ko bujha kar kuch nahi milta

Koi aik adh sapna ho to phir accha b lagta hai
Hazaron khwab ankhon mei saja kar kuch nahi milta

Yeh accha hai ke aapas ke bharam na tootne payein
Kabhi kabhi doston ko azma kar kuch nahi milta

Amal ki sookhti rag mei zara sa khoon shamil kar
Mere humdam faqt batein bana kar kuch nahi milta

Mujhe aksar sitaron se yeh awaz aati hai
Kisike hijar mei neendein ganwa kar kuch nahi milta

Jiggr ho jayega chalni yeh ankhein khoon royengi
Ae dil Be’faiz logon se nibah kar kuch nahi milta

posted in Ghazal SMS |

Jo na mil saka wo baywafa

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (4 votes, average: 3 out of 5)
Loading ... Loading ...

Jo na mil saka wo baywafa
yeh bare ajeeb si baat hai

jo chala gaya mujhay chor kar
wohi aaj tak mere saath hai…

Wo roshni kay khayal main
wo na asaka raah mian muntazir

yeh khalish kahan thi visaal main
mere justojoo ko khabar nahi

na wo din rahay na wo raat rahay
jo chala gaya mujhay chor kar

wohi aaj tak mere saath hai..
Kary pyar lab pay koi gila na hoo

yeh kissi kissi ka naseeb hai
yeh karam hai uski jafa nahi

wo juda bhi rehkay qareeb hai
wo aankh hai mere ru baru

ussi haath mein mera haath hai
jo chala gaya mujhay chor kar

wohi aaj tak mere saath hai
mera nam tak jo na lay saka

jo mujhay qarar na day saka
jissay ikhtiyaar tau tha magar

mujhay apna pyar na day saka
wohi shakhs mere talassh hai

wohi dard mere hayaat hai
jo chala gaya mujhay chor kar
wohi aaj tak meray saath ha

posted in Ghazal SMS |

Pyaar ka meetha “Ehsaas” dilane laga hai tu

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (9 votes, average: 4.11 out of 5)
Loading ... Loading ...

Pyaar ka meetha “Ehsaas” dilane laga hai tu
Ab to mujh se mujhi ko churane laga hai tu

Teri chahtooN ka chaaya hai saroor is qadar
Har pal har jagah nazar aane laga hai tu

Veeraan thi yeh zindgi tere aane se pehle
Khushiyoon ke sapne mujhe dhikane laga hai tu

Har pal mujhe hota hai bas tera hi “Ehsaas”
Is qadar meri saansoN mein samaane laga hai tu

Ek pal ki bhi doori seh nahi paata hoon main
Hoke juda kyun mujhe azmaane laga hai tu

Raah chalte hue aksar hota hai yeh gumaan
Ke ban saaya saath mere aane laga hai tu

Naam koi bhi looN to naam aaye tera labooN pe
Ban ke jadu meri rooh mein samaane laga hai tu

Teri yadoon se hi aksar hota hai dil munawwar mera
Ghul ke saath lahoo ke nas nas mein samaane laga hai tu

Jaane kaun si dor hai teri aur kheench le jaati hai
Mujh ko apna deewana banaane laga hai tu

Tasvvur mein aksar hota hai yeh mehsoos mujhey
Chorr k duniya meri baNhooN mein samaane laga hai tu

Yeh to bata ke kya naam dooN iss deewangi ko
Bechain kar ke har lamha mujhey tadpaane laga hai tu

Tere khayalooN se mehekne lagti hai zindagi meri
Mere zehn-o-dil pe is qadar chhaane laga hai tu

Yeh masoomiyat yeh bholapan yeh saadgi teri
Mujh ko har adaa se ab satane laga hai tu

Zeest ke rahooN mein dhoop thi har taraf
Apney pyaar ki barish ko barsane laga hai tu

Kya is baat ka tujhey “Ehsaas” hai “Jaan”
Mere har sher mein har Gazal mein aane laga hai tu

posted in Ghazal SMS |

Aik hi shehar mein rehna magar milna nahin

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (2 votes, average: 5 out of 5)
Loading ... Loading ...

Baaton baton mein bicharnay ka ishara ker k
Khud bhi roya woh bohut hum say kinara ker k

Sochta rehta hon tanhai mein Anjam-e-Khuloos
Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobarah ker k

Jagmaga di hain teray shehar ki galiyan mein nay
Apnay her ashk ko palkon pay sitara ker kay

Daikh laitay hain chalo hosla apnay dil ka
Aur kuch rooz teray sath guzara ker k

Aik hi shehar mein rehna magar milna nahin
Daikhtay hain yeh aziat gawara ker k

posted in Ghazal SMS |

Dil mein ab dard-e-mohabbat k siwa kuch bhi nahin

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (1 votes, average: 5 out of 5)
Loading ... Loading ...

Dil mein ab dard-e-mohabbat k siwa kuch bhi nahin
zindagi meri ibadat k siwa kuch bhi nahin

Mein teri baat bargah-e-naaz mein kia paish keron
Meri jhooli mein mohabbat k siwa kuch bhi nahin

Aey khuda mujh say na lay meray gunahon ka hisab
Meray paas ashk-e-nidamat k siwa kuch bhi nahin

Woh tou mit ker mujhey mil hi gayai rahat werna
Zindagi ranj-o-musibat k siva kuch bhi nahin

posted in Ghazal SMS |

Kaise woh lot aye ke fursat usse nahin

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (3 votes, average: 4 out of 5)
Loading ... Loading ...

Kaise woh lot aye ke fursat usse nahin
duniya samajh rahi hai mohabbat usse nahin.

lagta hai aa chuki hai kami us ki chah main
kafi dinon se mujh se shikayet usse nahin.

dil ki zameen us ki hai banjar issi liye
jazbon ki barishon ki jo aadat usse nahin.

her cheez ikhtiar main rakhta hai woh magar
dil se rehai pane pe qudrat usse nahin.

posted in Ghazal SMS |



Page 13 of 17« First...«10111213141516»...Last »